safety walo
ġhazab kī tapish hai
ghuTan is qadar dil meñ bahte lahū kī jagah
aag phuñkne lagī hai
so rag rag meñ chiñgāriyāñ haiñ
sulagtī huī surḳh āñkhoñ meñ
aañsū nahīñ halkā halkā dhuāñ hai
kisī nīm-ḳhvābīda ātish-fishāñ ke dahāne se
laavā ubalne ko bechain hai
shahr kā shahr luqma bane aag kā
Dher ho raakh kā
is se pahle agar merā ik mashvara
ahl-e-darbār ko bār-e-ḳhātir na ho
likhne vāloñ ke hāthoñ meñ de do qalam
lafz kī beḌiyāñ khol do
ghazab ki tapish hai
ghuTan is qadar dil mein bahte lahu ki jagah
aag phunkne lagi hai
so rag rag mein chingariyan hain
sulagti hui surKH aankhon mein
aansu nahin halka halka dhuan hai
kisi nim-KHwabida aatish-fishan ke dahane se
lawa ubalne ko bechain hai
shahr ka shahr luqma bane aag ka
Dher ho rakh ka
is se pahle agar mera ek mashwara
ahl-e-darbar ko bar-e-KHatir na ho
likhne walon ke hathon mein de do qalam
lafz ki beDiyan khol do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.