safir-e-amn
Interesting Fact
(On the sudden death of Lal Bahadur Shastri)
duniyā meñ kaun martā hai apne makāñ se duur
bhaa.ī bahan se biivī se bachchoñ se maañ se duur
hindostāñ kā la.al hai hindostāñ se duur
ye maut kaisī maut hai saare jahāñ se duur
aisī kaḌī thī kis kī nazar tujh ko khā ga.ī
pardes meñ ye kaise tujhe maut aa ga.ī
o jaane vaale dekh tū apne vatan ko dekh
ḳhūn-e-jigar meñ Duube hue mard-o-zan ko dekh
nausha banā ke bhejā thā phūloñ meñ kal tujhe
arthī uThāne aa.e haiñ rādhā kishan ko dekh
kitne hī log aa.e haiñ darshan ke vāste
taa.ir jo mar gayā hai nasheman ke vāste
bartāniya se ruus se jāpān o misr se
har ik safīr phuul chaḌhāne ko aa gayā
lo chūḌiyāñ utaar lalītā bhī aa ga.ī
beTā chitā ko aag lagāne ko aa gayā
chehra nazar jo aayā to chīḳheñ nigal ga.iiñ
lākhoñ chitāeñ jaise kaleje meñ jal ga.iiñ
duniya mein kaun marta hai apne makan se dur
bhai bahan se biwi se bachchon se man se dur
hindostan ka lal hai hindostan se dur
ye maut kaisi maut hai sare jahan se dur
aisi kaDi thi kis ki nazar tujh ko kha gai
pardes mein ye kaise tujhe maut aa gai
o jaane wale dekh tu apne watan ko dekh
KHun-e-jigar mein Dube hue mard-o-zan ko dekh
nausha bana ke bheja tha phulon mein kal tujhe
arthi uThane aae hain radha kishan ko dekh
kitne hi log aae hain darshan ke waste
tair jo mar gaya hai nasheman ke waste
bartaniya se rus se japan o misr se
har ek safir phul chaDhane ko aa gaya
lo chuDiyan utar lalita bhi aa gai
beTa chita ko aag lagane ko aa gaya
chehra nazar jo aaya to chiKHen nigal gain
lakhon chitaen jaise kaleje mein jal gain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.