safir-e-laila-3
safīr-e-lailā ye kyā huā hai
shaboñ ke chehre bigaḌ ga.e haiñ
diloñ ke dhāge ukhaḌ ga.e haiñ
shafīq aañsū nahīñ bache haiñ ġhamoñ ke lahje badal ga.e haiñ
tumhī batāo ki is khañDar meñ jahāñ pe makḌī kī san.ateñ hoñ
jahāñ samundar hoñ tīrgī ke
siyāh-jāloñ ke bādbāñ hoñ
jahāñ payambar ḳhamosh leTe hoñ bāteñ kartī hoñ murda rūheñ
safīr-e-lailā tumhī batāo jahāñ akelā ho dāstāñ-go
vo dāstāñ-go jise kahānī ke sab zamānoñ pe dastaras ho
shab-e-rifāqat meñ tūl-e-qissa charāġh jalne talak sunā.e
jise zabān-e-hunar kā saudā ho zindagī ko savāl samjhe
vahī akelā ho aur ḳhamoshī hazār sadiyoñ kī saañs roke
vo chup lagī ho ki maut bām-e-falak pe baiThī zamīñ ke saa.e se kāñptī ho
safīr-e-lailā tumhī batāo vo aise dozaḳh se kaise nipTe
dayār-e-lailā se aa.e naame kī nau ibārat ko kaise paḌh le
purāne lafzoñ ke isti.āroñ meñ gum mohabbat ko kyūñke samjhe
safīr-e-lailā abhī malāmat kā vaqt aa.egā dekh lenā
agar musir ho to aao dekho
yahāñ pe baiTho ye naame rakh do
yahīñ pe rakh do inhī siloñ par
ki is jagah par hamārī qurbat ke din mile the
vo din yahīñ par judā hue the inhī siloñ par
aur ab zarā tum nazar uThāo mujhe batāo tumhārā naaqa kahāñ gayā hai
buland Taḳhnoñ se zard retī pe chalne vaalā sabīh naaqa
vo surḳh naaqa savār ho kar tum aa.e jis par burī sarā meñ
vahī ki jis kī mahār bāñdhī thī tum ne bosīda ustuḳhvāñ se
vo asp-e-tāzī ke ustuḳhvāñ the
mujhe batāo safīr-e-lailā kidhar gayā vo
udhar to dekho vo haDDiyoñ kā hujūm dekho
vahī tumhārā aziiz sāthī safar kā monis
pa ab nahīñ hai
aur ab uThāo siloñ se naame
paḌho ibārat jo paḌh sako to
kyā Dar ga.e ho ki sat.h-e-kāġhaz pe juz siyāhī ke kuchh nahīñ hai
ḳhajil ho is par ki kyuuñ ibārat ġhubār ho kar nazar se bhāgī
safīr-e-lailā ye sab karishme isī khañDar ne mirī jabīñ par likhe hue haiñ
yahī ajā.ib haiñ jin ke sadqe yahāñ parinde na dekh pāoge
aur sadiyoñ talak na utregī yaañ savārī
na chob-e-ḳhema gaḌegī yaañ par
safīr-e-lailā ye mere din haiñ
safīr-e-lailā ye merī rāteñ
aur ab batāo ki is aziyyat meñ kis mohabbat ke ḳhvāb dekhūñ
maiñ kin ḳhudāoñ se nuur māñgūñ
magar ye sab kuchh purāne qisse parā.ī bastī ke murda qaziye
tumheñ fasānoñ se kyā lagāo
tumheñ to matlab hai apne naaqa se aur naame kī us ibārat se
sat.h-e-kāġhaz se jo uḌī hai
safīr-e-lailā tumhārā naaqa
maiñ us ke marne par ġham-zada huuñ
tumhāre ranj o alam se vāqif baḌe ḳhasāroñ ko dekhtā huuñ
so aao us kī talāfī kar duuñ ye mere shāne haiñ baiTh jaao
tumheñ ḳharābe kī kārgah se nikāl aa.uuñ
dayār-e-lailā ko jaane vaalī habīb rāhoñ pe chhoḌ aa.uuñ
safir-e-laila ye kya hua hai
shabon ke chehre bigaD gae hain
dilon ke dhage ukhaD gae hain
shafiq aansu nahin bache hain ghamon ke lahje badal gae hain
tumhi batao ki is khanDar mein jahan pe makDi ki sanaten hon
jahan samundar hon tirgi ke
siyah-jalon ke baadban hon
jahan payambar KHamosh leTe hon baaten karti hon murda ruhen
safir-e-laila tumhi batao jahan akela ho dastan-go
wo dastan-go jise kahani ke sab zamanon pe dastaras ho
shab-e-rifaqat mein tul-e-qissa charagh jalne talak sunae
jise zaban-e-hunar ka sauda ho zindagi ko sawal samjhe
wahi akela ho aur KHamoshi hazar sadiyon ki sans roke
wo chup lagi ho ki maut baam-e-falak pe baiThi zamin ke sae se kanpti ho
safir-e-laila tumhi batao wo aise dozaKH se kaise nipTe
dayar-e-laila se aae name ki nau ibarat ko kaise paDh le
purane lafzon ke istiaron mein gum mohabbat ko kyunke samjhe
safir-e-laila abhi malamat ka waqt aaega dekh lena
agar musir ho to aao dekho
yahan pe baiTho ye name rakh do
yahin pe rakh do inhi silon par
ki is jagah par hamari qurbat ke din mile the
wo din yahin par juda hue the inhi silon par
aur ab zara tum nazar uThao mujhe batao tumhaara naqa kahan gaya hai
buland TaKHnon se zard reti pe chalne wala sabih naqa
wo surKH naqa sawar ho kar tum aae jis par buri sara mein
wahi ki jis ki mahaar bandhi thi tum ne bosida ustuKHwan se
wo asp-e-tazi ke ustuKHwan the
mujhe batao safir-e-laila kidhar gaya wo
udhar to dekho wo haDDiyon ka hujum dekho
wahi tumhaara aziz sathi safar ka monis
pa ab nahin hai
aur ab uThao silon se name
paDho ibarat jo paDh sako to
kya Dar gae ho ki sath-e-kaghaz pe juz siyahi ke kuchh nahin hai
KHajil ho is par ki kyun ibarat ghubar ho kar nazar se bhagi
safir-e-laila ye sab karishme isi khanDar ne meri jabin par likhe hue hain
yahi ajaib hain jin ke sadqe yahan parinde na dekh paoge
aur sadiyon talak na utregi yan sawari
na chob-e-KHema gaDegi yan par
safir-e-laila ye mere din hain
safir-e-laila ye meri raaten
aur ab batao ki is aziyyat mein kis mohabbat ke KHwab dekhun
main kin KHudaon se nur mangun
magar ye sab kuchh purane qisse parai basti ke murda qaziye
tumhein fasanon se kya lagao
tumhein to matlab hai apne naqa se aur name ki us ibarat se
sath-e-kaghaz se jo uDi hai
safir-e-laila tumhaara naqa
main us ke marne par gham-zada hun
tumhaare ranj o alam se waqif baDe KHasaron ko dekhta hun
so aao us ki talafi kar dun ye mere shane hain baiTh jao
tumhein KHarabe ki kargah se nikal aaun
dayar-e-laila ko jaane wali habib rahon pe chhoD aaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.