sahafi se
qaum kī behtarī kā chhoḌ ḳhayāl
fikr-e-ta.amīr-e-mulk dil se nikāl
terā parcham hai terā dast-e-savāl
be-zamīrī kā aur kyā ho ma.aal
ab qalam se izār-band hī Daal
tañg kar de ġharīb par ye zamīñ
ḳham hī rakh āstān-e-zar pe jabīñ
aib kā daur hai hunar kā nahīñ
aaj husn-e-kamāl ko hai zavāl
ab qalam se izār-band hī Daal
kyuuñ yahāñ sub.h-e-nau kī baat chale
kyuuñ sitam kī siyāh raat Dhale
sab barābar haiñ āsmāñ ke tale
sab ko raj.at-pasand kah kar Taal
ab qalam se izār-band hī Daal
naam se peshtar lagā ke amiir
har musalmān ko banā ke faqīr
qasr-o-aivāñ meñ ho qayām-pazīr
aur ḳhutboñ meñ de 'umar' kī misāl
ab qalam se izār-band hī Daal
āmariyyat kī ham-navā.ī meñ
terā ham-sar nahīñ ḳhudā.ī meñ
bādshāhoñ kī rahnumā.ī meñ
roz islām kā julūs nikāl
ab qalam se izār-band hī Daal
laakh hoñToñ pe dam hamārā ho
aur dil sub.h kā sitārā ho
sāmne maut kā nazārā ho
likh yahī Thiik hai marīz kā haal
ab qalam se izār-band hī Daal
qaum ki behtari ka chhoD KHayal
fikr-e-tamir-e-mulk dil se nikal
tera parcham hai tera dast-e-sawal
be-zamiri ka aur kya ho maal
ab qalam se izar-band hi Dal
tang kar de gharib par ye zamin
KHam hi rakh aastan-e-zar pe jabin
aib ka daur hai hunar ka nahin
aaj husn-e-kamal ko hai zawal
ab qalam se izar-band hi Dal
kyun yahan subh-e-nau ki baat chale
kyun sitam ki siyah raat Dhale
sab barabar hain aasman ke tale
sab ko rajat-pasand kah kar Tal
ab qalam se izar-band hi Dal
nam se peshtar laga ke amir
har musalman ko bana ke faqir
qasr-o-aiwan mein ho qayam-pazir
aur KHutbon mein de 'umar' ki misal
ab qalam se izar-band hi Dal
aamariyyat ki ham-nawai mein
tera ham-sar nahin KHudai mein
baadshahon ki rahnumai mein
roz islam ka julus nikal
ab qalam se izar-band hi Dal
lakh honTon pe dam hamara ho
aur dil subh ka sitara ho
samne maut ka nazara ho
likh yahi Thik hai mariz ka haal
ab qalam se izar-band hi Dal
- Book : kulliyat-e-habib jaalib (Pg. 367)
- Author : habib jaalib
- Publication : Tahir publishar,lahore (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.