sahaara DhunDta hun
mohabbat kā ishāra DhūñDhtā huuñ
maiñ jiine kā sahārā DhūñDhtā huuñ
vo bekas huuñ ki har ik mauj-e-ġham meñ
masarrat kā kināra DhūñDhtā huuñ
siyah-baḳhtī ke saa.e haiñ magar maiñ
muqaddar kā sahārā DhūñDhtā huuñ
mire hāthoñ se chhū kar uḌ gayā jo
vahī dāman tumhārā DhūñDhtā huuñ
hasīñ taaro mire dil meñ na jhāñko
maiñ apnā māh-pāra DhūñDtā huuñ
zarā ai chashm rok apne ye aañsū
maiñ zabt-e-ġham kā yaarā DhūñDtā huuñ
merī gintī hī kyā mahfil meñ terī
ki maiñ apnā shumāra DhūñDhtā huuñ
mohabbat ka ishaara DhunDhta hun
main jine ka sahaara DhunDhta hun
wo bekas hun ki har ek mauj-e-gham mein
masarrat ka kinara DhunDhta hun
siyah-baKHti ke sae hain magar main
muqaddar ka sahaara DhunDhta hun
mere hathon se chhu kar uD gaya jo
wahi daman tumhaara DhunDhta hun
hasin taro mere dil mein na jhanko
main apna mah-para DhunDta hun
zara ai chashm rok apne ye aansu
main zabt-e-gham ka yara DhunDta hun
meri ginti hi kya mahfil mein teri
ki main apna shumara DhunDhta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.