os kī būñdoñ meñ namkīnī nahīñ
phuul gar chāhe ki apnī raat ke anjām ko
ek hī lamhe meñ yaksar jaan le
us ko lāzim hai havā ke sard jhoñke se kahe
jaao us ke āñsuoñ ko chuum lo
āñsuoñ ko chuum kar mahsūs ye hone lagā
ek aañsū ek buuñd
ek pal meñ ek bahr-e-nīlgūñ
ban ke chhā jaatā hai tanhā naav par
kyā huā gar os kī būñdoñ meñ namkīnī nahīñ
os kī būñdoñ meñ namkīnī agar hotī to kyā
phuul is meñ tairte hī tairte
apnī manzil tak pahuñch saktā na thā ik naav ban saktā na thā
phuul kyā hai tū ki maiñ
phuul maiñ huuñ tū nahīñ
tū to bahr-e-nīlgūñ meñ ek tanhā naav hai
bahtī jaatī hai zarā ruktī nahīñ
tujh ko ye ma.alūm kab hai os kī būñdoñ meñ namkīnī nahīñ
tū faqat bātoñ ke bal par apnī rātoñ kī rasīlī chhāñv meñ
ye samajhtī hai ki har lamha achānak phail kar
shash-jihat par dil dhaḌakte hī meñ yuuñ chhāne lagā
jaise ik Thahrāv furqat kī añdherī raat meñ
dard ke ham-dosh lazzat ko bhī uksātā rahe
le piyāla thaam le
is meñ baaqī hai abhī zahr-e-ġham
jis ko pī kar maiñ bhī apnī zindagī se bhāgtā phirtā rahā
guftugū se fā.eda kuchh bhī nahīñ lekin mujhe
har ishārā daam hai alfāz kā
jis meñ taa.ir phaḌ-phaḌāte chīḳhte
chīḳhte hī chīḳhte ḳhāmosh ho jaate hue
jaan lete haiñ ki ab vo raat hī darmāñ banegī dard ke ambār kā
jis ke bikhre dāman-e-sad-chāk meñ
phuul kī bhīgī huī pattī pe būñdeñ os kī
saath laatī haiñ gudāz-e-rūh kī halkī malāhat ko jise
chakh ke kahtī hai zabāñ kyuuñ ab kaho
os kī būñdoñ meñ namkīnī nahīñ
dekh duur
ek tanhā naav bahr-e-nīlgūñ pe rafta rafta baḌhte baḌhte aa rahī hai paas dekh
duur kī chīzeñ bhī yuuñ
bātoñ bātoñ meñ qarīb aa jā.eñgī kyā thī ḳhabar
dekh to
rishta-e-ahd-e-taḳhayyul band thā
khulne lagā
rafta rafta ik na.ī sūrat nazar aane lagī
ik na.ī sūrat magar kuchh naqsh to mānūs haiñ
aur har lamhe se har aañsū se qasr-e-nīlgūñ istāda hai
duur us kī chhat meñ do fānūs haiñ
os ki bundon mein namkini nahin
phul gar chahe ki apni raat ke anjam ko
ek hi lamhe mein yaksar jaan le
us ko lazim hai hawa ke sard jhonke se kahe
jao us ke aansuon ko chum lo
aansuon ko chum kar mahsus ye hone laga
ek aansu ek bund
ek pal mein ek bahr-e-nilgun
ban ke chha jata hai tanha naw par
kya hua gar os ki bundon mein namkini nahin
os ki bundon mein namkini agar hoti to kya
phul is mein tairte hi tairte
apni manzil tak pahunch sakta na tha ek naw ban sakta na tha
phul kya hai tu ki main
phul main hun tu nahin
tu to bahr-e-nilgun mein ek tanha naw hai
bahti jati hai zara rukti nahin
tujh ko ye malum kab hai os ki bundon mein namkini nahin
tu faqat baaton ke bal par apni raaton ki rasili chhanw mein
ye samajhti hai ki har lamha achanak phail kar
shash-jihat par dil dhaDakte hi mein yun chhane laga
jaise ek Thahraw furqat ki andheri raat mein
dard ke ham-dosh lazzat ko bhi uksata rahe
le piyala tham le
is mein baqi hai abhi zahr-e-gham
jis ko pi kar main bhi apni zindagi se bhagta phirta raha
guftugu se faeda kuchh bhi nahin lekin mujhe
har ishaara dam hai alfaz ka
jis mein tair phaD-phaDate chiKHte
chiKHte hi chiKHte KHamosh ho jate hue
jaan lete hain ki ab wo raat hi darman banegi dard ke ambar ka
jis ke bikhre daman-e-sad-chaak mein
phul ki bhigi hui patti pe bunden os ki
sath lati hain gudaz-e-ruh ki halki malahat ko jise
chakh ke kahti hai zaban kyun ab kaho
os ki bundon mein namkini nahin
dekh dur
ek tanha naw bahr-e-nilgun pe rafta rafta baDhte baDhte aa rahi hai pas dekh
dur ki chizen bhi yun
baaton baaton mein qarib aa jaengi kya thi KHabar
dekh to
rishta-e-ahd-e-taKHayyul band tha
khulne laga
rafta rafta ek nai surat nazar aane lagi
ek nai surat magar kuchh naqsh to manus hain
aur har lamhe se har aansu se qasr-e-nilgun istada hai
dur us ki chhat mein do fanus hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.