sahar hone tak
ek bijlī ke khambe tale
kitne zinda bache
aur kitne jale
kis ko ma.alūm ho
kaise ma.alūm ho
koī in kā sharīk-e-shab-e-ġham na thā
shaam se tā-sahar
apne anjām se be-ḳhabar
ātish-e-soz-e-pinhāñ meñ jalte rahe
raqs karte rahe
sub.h hone se pahle
siyah raat ke qāfile
sard lāshoñ ke ambār ko aa ke bikhrā ga.e
shikasta paroñ ko havāoñ ke jhoñke na jaane kidhar ko uḌā le ga.e
kis ko ma.alūm ho
kaise ma.alūm ho
ātish-e-soz-e-pinhāñ meñ kitne jale
kitne zinda bache
ek bijli ke khambe tale
kitne zinda bache
aur kitne jale
kis ko malum ho
kaise malum ho
koi in ka sharik-e-shab-e-gham na tha
sham se ta-sahar
apne anjam se be-KHabar
aatish-e-soz-e-pinhan mein jalte rahe
raqs karte rahe
subh hone se pahle
siyah raat ke qafile
sard lashon ke ambar ko aa ke bikhra gae
shikasta paron ko hawaon ke jhonke na jaane kidhar ko uDa le gae
kis ko malum ho
kaise malum ho
aatish-e-soz-e-pinhan mein kitne jale
kitne zinda bache
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.