sahih darwaza
mujhe suno
aur merā yaqīn karo
merā vatan
insāf ke naġhmoñ kā pyāsā hai
tumheñ merā yaqīn ho to
aao
ham ek nayā nusḳha tayyār kareñ
jab abnā-e-vatan
ulTe laTkā.e jā rahe hoñ
ḳhāmoshī ke saath
na.e dinoñ kī shurūāt mumkin nahīñ
mujhe afsos hai
maiñ ne kuchh rākshas dekhe haiñ
vo mujh se ziyāda
ḳhūbsūrat haiñ aur ḳhush-nasīb
vo sune jaate haiñ
lākhoñ kī ta.adād meñ
hazār chehroñ ke mālik haiñ vo
magar hairat-angez haiñ vo log
jo baġhair āñkhoñ vaale haiñ
vo kabhī bhī dekh sakte haiñ
shāyad maiñ ne
ḳhizāñ-rasīda peḌoñ ko
lambe arse tak
zamīñ-bos hote dekhā hai
maiñ ne ehtijāj ke liye
jis din kā ta.ayyun kiyā thā
logoñ ne use ek
isti.māl shuda kapḌe kī tarah
Dhulne ke liye pare rakh diyā hai
agar tumheñ yaqīn hai
tum giit gā sakte ho
to tumheñ lafzoñ par paḌī zanjīroñ kī
shanāḳht karnī hogī
agar sahī dekhnā chāhte ho tum
lense par paḌī gard haTānī hogī
sūrat-e-hāl is qadar māyūs-kun bhī nahīñ
jab insāf-gāhoñ ke anginat
darvāze hoñ
aur hameñ sahī darvāze tak pahuñchnā hai
to ek sileTī āsmān ke nīche
shāna-ba-shāna ek lambā fāsla tai karnā hogā
aur maiñ yaqīn dilātā huuñ
ye fāsla hairat-angez vāqi.āt se pur hai
mujhe suno
aur mera yaqin karo
mera watan
insaf ke naghmon ka pyasa hai
tumhein mera yaqin ho to
aao
hum ek naya nusKHa tayyar karen
jab abna-e-watan
ulTe laTkae ja rahe hon
KHamoshi ke sath
nae dinon ki shuruat mumkin nahin
mujhe afsos hai
main ne kuchh rakshas dekhe hain
wo mujh se ziyaada
KHubsurat hain aur KHush-nasib
wo sune jate hain
lakhon ki tadad mein
hazar chehron ke malik hain wo
magar hairat-angez hain wo log
jo baghair aankhon wale hain
wo kabhi bhi dekh sakte hain
shayad main ne
KHizan-rasida peDon ko
lambe arse tak
zamin-bos hote dekha hai
main ne ehtijaj ke liye
jis din ka tayyun kiya tha
logon ne use ek
istimal shuda kapDe ki tarah
Dhulne ke liye pare rakh diya hai
agar tumhein yaqin hai
tum git ga sakte ho
to tumhein lafzon par paDi zanjiron ki
shanaKHt karni hogi
agar sahi dekhna chahte ho tum
lense par paDi gard haTani hogi
surat-e-haal is qadar mayus-kun bhi nahin
jab insaf-gahon ke anginat
darwaze hon
aur hamein sahi darwaze tak pahunchna hai
to ek sileTi aasman ke niche
shana-ba-shana ek lamba fasla tai karna hoga
aur main yaqin dilata hun
ye fasla hairat-angez waqiat se pur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.