sahih kah rahe ho
sahīh kah rahe ho
shikāyat bajā hai tumhārī
ghane gard chehre tumhāre nahīñ haiñ
ḳhizāñ-zāde shahroñ kā ruḳh kar rahe haiñ
gulābī hare niile piile
sabhī rañg mausam uḌā le gayā hai
koī dhānī chunarī
havā se nahīñ kheltī hai
kahānī sunāo kisī vaqt bhī
ki din raat kī qaid baaqī nahīñ hai
sunā hai
musāfir koī rāsta ab nahīñ bhūltā
sahī kah rahe ho
ki ye mas.ala bhī tumhārā nahīñ hai
sahih kah rahe ho
shikayat baja hai tumhaari
ghane gard chehre tumhaare nahin hain
KHizan-zade shahron ka ruKH kar rahe hain
gulabi hare nile pile
sabhi rang mausam uDa le gaya hai
koi dhani chunari
hawa se nahin khelti hai
kahani sunao kisi waqt bhi
ki din raat ki qaid baqi nahin hai
suna hai
musafir koi rasta ab nahin bhulta
sahi kah rahe ho
ki ye masala bhi tumhaara nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.