Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sailab

MORE BYShahid Ahmad Shoaib

    havā tez hai aur bahut tez hai

    aur

    gahre siyah bādaloñ se utarte hue shor ke saath

    chāroñ taraf

    pāgaloñ tarah dauḌtī hai

    ġhazab

    qahr

    dahshat ik rākshas

    muztarib aur betāb hai

    ek sailāb hai

    har taraf

    sail-e-āb-e-ravāñ

    apne shānoñ pe

    har sā.ebāñ

    har makāñ

    saare dīvār-o-dar ko liye

    ik ajab sar-kashī par tulā hai

    jidhar chāhtā hai

    udhar rahā hai

    ghamanDī daraḳhtoñ ke sar jhuk chuke haiñ

    zamīñ chhoḌ kar

    sat.h-e-āb-e-ravāñ ke ishāroñ pe chalne lage haiñ

    har ik shai ġharīq-e-balā hai

    har ik samt bas ik fanā hai

    havāoñ chiñghāḌ

    aur

    pāniyoñ garaj ke sivā

    kuchh nahīñ hai

    bas ik ḳhauf

    tashkīk vāloñ ke dil makīñ hai

    kahīñ duur

    ik jism jo zindagī ramaq kho chukā hai

    ki tajsīm se bhī alag ho chukā hai

    ta.affun-zada hai

    idhar se udhar tairtā hai

    use

    aaj koī nahīñ pūchhtā hai

    ki us chamaktī huī zinda āñkheñ

    koī le gayā hai

    saḌe jism

    havā bāñTtī hai

    har ik fard ko DhūñDhtī hai

    ġhanī ho ga.ī hai

    havā tez hai aur bahut tez hai

    ġhazab qahr-o-dahshat ik rākshas

    muztarib aur betāb hai

    ek sailāb hai

    ye zamīñ kyā ki ab āsmāñ bhī tah-e-āb hai

    hawa tez hai aur bahut tez hai

    aur

    gahre siyah baadalon se utarte hue shor ke sath

    chaaron taraf

    pagalon ki tarah dauDti hai

    ghazab

    qahr

    dahshat ka ek rakshas

    muztarib aur betab hai

    ek sailab hai

    har taraf

    sail-e-ab-e-rawan

    apne shanon pe

    har saeban

    har makan

    sare diwar-o-dar ko liye

    ek ajab sar-kashi par tula hai

    jidhar chahta hai

    udhar ja raha hai

    ghamanDi daraKHton ke sar jhuk chuke hain

    zamin chhoD kar

    sath-e-ab-e-rawan ke ishaaron pe chalne lage hain

    har ek shai ghariq-e-bala hai

    har ek samt bas ek fana hai

    hawaon ki chinghaD

    aur

    paniyon ki garaj ke siwa

    kuchh nahin hai

    bas ek KHauf

    tashkik walon ke dil ka makin hai

    kahin dur

    ek jism jo zindagi ki ramaq kho chuka hai

    ki tajsim se bhi alag ho chuka hai

    taffun-zada hai

    idhar se udhar tairta hai

    use

    aaj koi nahin puchhta hai

    ki us ki chamakti hui zinda aankhen

    koi le gaya hai

    saDe jism ki bu

    hawa banTti hai

    har ek fard ko DhunDhti hai

    ghani ho gai hai

    hawa tez hai aur bahut tez hai

    ghazab qahr-o-dahshat ka ek rakshas

    muztarib aur betab hai

    ek sailab hai

    ye zamin kya ki ab aasman bhi tah-e-ab hai

    Source :
    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now