sailab ke baad
paanī achchhā ḳhāsa gale tak aa pahuñchā thā
achchhī ḳhāsī Duub ga.ī thī saarī bastī
achchhā ḳhāsa ik sailāb thā paanī utrā
bhīge jism pe chipke kapḌoñ
aur ḳhāshāk kā manzar ubhrā
paanī kyā utrā tanhā.ī ubhar aa.ī hai
vo jo nahīñ thā
vo bhī jaise sail-e-ravāñ ke saath gayā ho
galiyoñ meñ be-jān badan haiñ
yā sannāTā tair rahā hai
pani achchha KHasa gale tak aa pahuncha tha
achchhi KHasi Dub gai thi sari basti
achchha KHasa ek sailab tha pani utra
bhige jism pe chipke kapDon
aur KHashak ka manzar ubhra
pani kya utra tanhai ubhar aai hai
wo jo nahin tha
wo bhi jaise sail-e-rawan ke sath gaya ho
galiyon mein be-jaan badan hain
ya sannaTa tair raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.