sailani ruh
maiñ thiraktī huuñ sārangiyoñ kī na.ī jāvedānī dhunoñ par
mire bāblā
terī dhartī tirā ye mohalla kushāda rahe
tere sayyār kī saarī galiyoñ meñ raunaq rahe
tere khaliyān meñ sabz ḳhushbū rahe
tere ashjār par nau-shagufta guloñ kī baje bāñsurī
tū parindoñ kī chahkār se giit buntā rahe
bārishoñ ke tarannum jo mansūḳh hoñ to
tire dasht zarroñ se dariyā baneñ
maiñ to sad-guftanī husn ko dekh kar hī thiraktī rahī
terī bainassutūrī dhunoñ par
zamīñ āsmāñ ke jo mābain haiñ
jo ḳhalāoñ ke uqde zamīnī bashar kholte haiñ
usī fahm kī phailtī vādiyāñ dekh kar
man ke tālāb meñ roz khiltī huī ḳhvāhishoñ ke kañval dekh kar
be-kināra khulī samt se
panchhiyoñ kī uḌānoñ ke
lambī masāfat bhare qāfile dekh kar
maiñ thiraktī rahī
maiñ ḳhudā kī zuhūrī dhunoñ par thiraktī rahī
jo khule pāniyoñ ko
ḳhafī sāhiloñ se muqaffal kare
jo falak-bos parbat ko ism-e-tavāzun se qaa.em kare
khol de dasht par abr ke jo ḳhazāne
jo kaale pahāḌoñ se jharne nikāle
zamīñ par falak se parinde utāre
mohabbat kī un naddiyoñ ke kināre thiraktī rahī
jhiil rattī galī kā khulā bāñkpan ho
yā kailāsh kī raqs kartī huī deviyoñ ke suhāne badan
maiñ thiraktī rahī
naḳhl-e-nūr-o-samar kī ye jalvagarī dekh kar
mushk puurī dhunoñ par thiraktī rahī
main thirakti hun sarangiyon ki nai jawedani dhunon par
mere babla
teri dharti tera ye mohalla kushada rahe
tere sayyar ki sari galiyon mein raunaq rahe
tere khaliyan mein sabz KHushbu rahe
tere ashjar par nau-shagufta gulon ki baje bansuri
tu parindon ki chahkar se git bunta rahe
barishon ke tarannum jo mansuKH hon to
tere dasht zarron se dariya banen
main to sad-guftani husn ko dekh kar hi thirakti rahi
teri bainassuturi dhunon par
zamin aasman ke jo mabain hain
jo KHalaon ke uqde zamini bashar kholte hain
usi fahm ki phailti wadiyan dekh kar
man ke talab mein roz khilti hui KHwahishon ke kanwal dekh kar
be-kinara khuli samt se
panchhiyon ki uDanon ke
lambi masafat bhare qafile dekh kar
main thirakti rahi
main KHuda ki zuhuri dhunon par thirakti rahi
jo khule paniyon ko
KHafi sahilon se muqaffal kare
jo falak-bos parbat ko ism-e-tawazun se qaem kare
khol de dasht par abr ke jo KHazane
jo kale pahaDon se jharne nikale
zamin par falak se parinde utare
mohabbat ki un naddiyon ke kinare thirakti rahi
jhil ratti gali ka khula bankpan ho
ya kailash ki raqs karti hui dewiyon ke suhane badan
main thirakti rahi
naKHl-e-nur-o-samar ki ye jalwagari dekh kar
mushk puri dhunon par thirakti rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.