sair-e-kashmir ka ek tassur
'āzād'! zarā dekh tū ye ālam-e-arzañg
mausam ke ye andāz bahāroñ ke ye nairañg
ye husn, ye tartīb, ye taz.īn ye āhañg
dāmān-e-ḳhirad chaak hai dāmān-e-nazar tañg
har zarra hai dāman meñ liye tuur kī duniyā
har baat meñ ik baat hai har rañg meñ sau rañg
ai rūh-e-bashar! tujh se haiñ donoñ mutakallim
sabze kī ḳhamoshī hai ki jharnoñ kā hai āhañg
ab chhoḌ bhī afsurdagī apnī dil-e-nādāñ
ab phuul bhī ho khil ke tū ai ġhuncha-e-dil-tañg
har shai se huvaidā hai jhalak husn-e-azal kī
zarra hai ki taara hai shagūfa hai ki hai sañg
sab aks tire aks haiñ ai sūrat-e-pinhāñ
sab rañg tire rañg haiñ ai hasti-e-be-rañg
ai dekhne vālo! ye zarā baat to dekho
patte haiñ shafaq-rañg to patthar haiñ saman-rañg
sab kuchh ye bajā hai magar ai husn-e-gurezāñ
ai tū ki tirī chaal pe qurbāñ jaman o gañg
is raah meñ gar saath tirā ho na mayassar
liddar faqat āvāz hai gul-marg faqat rañg
'azad'! zara dekh tu ye aalam-e-arzang
mausam ke ye andaz bahaaron ke ye nairang
ye husn, ye tartib, ye tazin ye aahang
daman-e-KHirad chaak hai daman-e-nazar tang
har zarra hai daman mein liye tur ki duniya
har baat mein ek baat hai har rang mein sau rang
ai ruh-e-bashar! tujh se hain donon mutakallim
sabze ki KHamoshi hai ki jharnon ka hai aahang
ab chhoD bhi afsurdagi apni dil-e-nadan
ab phul bhi ho khil ke tu ai ghuncha-e-dil-tang
har shai se huwaida hai jhalak husn-e-azal ki
zarra hai ki tara hai shagufa hai ki hai sang
sab aks tere aks hain ai surat-e-pinhan
sab rang tere rang hain ai hasti-e-be-rang
ai dekhne walo! ye zara baat to dekho
patte hain shafaq-rang to patthar hain saman-rang
sab kuchh ye baja hai magar ai husn-e-gurezan
ai tu ki teri chaal pe qurban jaman o gang
is rah mein gar sath tera ho na mayassar
liddar faqat aawaz hai gul-marg faqat rang
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.