Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sair karaen

Aman Zakhirvi

sair karaen

Aman Zakhirvi

MORE BYAman Zakhirvi

    shahr shahr le jaa.eñ abbū

    mujh ko sair karā.eñ abbū

    kareñ na mangal piir dikhā deñ

    jannat tasvīr dikhā deñ

    shālīmār nashāt jahāñ hai

    bas mujh ko kashmīr dikhā deñ

    yuuñ mat bahlā.eñ abbū

    mujh ko sair karā.eñ abbū

    dillī meñ ik laal qila hai

    aur qutub-mīnār khaḌā hai

    shāh-jahāñ jāme’ masjid

    vahīñ india gate banā hai

    kal ticket kaTā.eñ abbū

    mujh ko sair karā.eñ abbū

    kalkatta bhī chal kar dekheñ

    pool vo viddyā sāgar dekheñ

    dilkash hai victoriya behad

    aur dam-dam manzar dekheñ

    mauqa' nahīñ gañvā.eñ abbū

    mujh ko sair karā.eñ abbū

    mumbai hai shaan nirālī

    juuhu biich rang jamālī

    haajī 'alī se ḳhālī dāman

    kab lauTā hai koī savālī

    chal kar kareñ du'ā.eñ abbū

    mujh ko sair karā.eñ abbū

    chāñd ke jaisā vo nirmal hai

    us ke pīchhe jag pāgal hai

    pyaar hai vo ek nishānī

    āgara jo taaj mahal hai

    apnā vachan nibhā.eñ abbū

    mujh ko sair karā.eñ abbū

    vaisā manzar aur kahāñ hai

    chāroñ jānib amn-o-amāñ hai

    jahāñ bharā hai annā sāgar

    ḳhvāja dargāh vahāñ hai

    kyoñ ajmer na jaa.eñ abbū

    mujh ko sair karā.eñ abbū

    paTna ziyāda duur nahīñ hai

    piir 'alī baaġh vahīñ hai

    hai gāñdhī maidān goal ghar

    taara manDal ḳhuub hasīñ hai

    aur nahīñ taḌpā.eñ abbū

    mujh ko sair karā.eñ abbū

    shahr shahr le jaen abbu

    mujh ko sair karaen abbu

    karen na mangal pir dikha den

    jannat ki taswir dikha den

    shaalimar nashat jahan hai

    bas mujh ko kashmir dikha den

    yun hi mat bahlaen abbu

    mujh ko sair karaen abbu

    dilli mein ek lal qila hai

    aur qutub-minar khaDa hai

    shah-jahan ki jame’ masjid

    wahin india gate bana hai

    kal hi ticket kaTaen abbu

    mujh ko sair karaen abbu

    kalkatta bhi chal kar dekhen

    pool wo widdya sagar dekhen

    dilkash hai wictoriya behad

    aur dam-dam ka manzar dekhen

    mauqa' nahin ganwaen abbu

    mujh ko sair karaen abbu

    mumbai ki hai shan nirali

    juhu bich ka rang jamali

    haji 'ali se KHali daman

    kab lauTa hai koi sawali

    chal kar karen du'aen abbu

    mujh ko sair karaen abbu

    chand ke jaisa wo nirmal hai

    us ke pichhe jag pagal hai

    pyar ki hai wo ek nishani

    aagara ka jo taj mahal hai

    apna wachan nibhaen abbu

    mujh ko sair karaen abbu

    waisa manzar aur kahan hai

    chaaron jaanib amn-o-aman hai

    jahan bhara hai anna sagar

    KHwaja ki dargah wahan hai

    kyon ajmer na jaen abbu

    mujh ko sair karaen abbu

    paTna ziyaada dur nahin hai

    pir 'ali ka bagh wahin hai

    hai gandhi maidan goal ghar

    tara manDal KHub hasin hai

    aur nahin taDpaen abbu

    mujh ko sair karaen abbu

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now