sairabi
be-mehrī-e-duniyā kī kaḌī dhuup meñ akasr
dekhā hai ki jhulsā diyā jab ġham kī tapish ne
murjhā diyā jab dard kī shiddat ne badan ko
aur hoñT dam-e-bāz-pasīñ se laraz uTThe
chhāyā hai ghaTā-Top tere pyaar kā bādal
barsī hai dhuāñ-dhār tire lutf kī bārish
tū ne mujhe is tarah bhī sairāb kiyā hai
be-mehri-e-duniya ki kaDi dhup mein akasr
dekha hai ki jhulsa diya jab gham ki tapish ne
murjha diya jab dard ki shiddat ne badan ko
aur honT dam-e-baz-pasin se laraz uTThe
chhaya hai ghaTa-Top tere pyar ka baadal
barsi hai dhuan-dhaar tere lutf ki barish
tu ne mujhe is tarah bhi sairab kiya hai
- Book : Qarz-e-jan (Pg. 9)
- Author : Rashid Azar
- Publication : Rashid Azar (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.