sajda-e-sahw
log kahte haiñ mūrakh
mulāqāt kā silsila ḳhatm hai
magar apne jiine kā maqsad mulāqāt hai
tum miloge
kabhī aisā rasta bhī ham ko samjhāo
jahāñ tum bhī aao
bahut saañs jhoñkā bahut lafz phūñke
shab-o-roz ke an-ginat zard pattoñ ke
Dheroñ se Dhāñpā kiye
jism apnā
libādoñ kī sūrat bahut ham ne pahnā utārā
bahut manzileñ chhoḌ diiñ
is liye ham na Thahre
ki terī taraf ham ravāna raheñ
magar apnī hijrat kī manzil kabhī aa.egī bhī
ki rasiyā hai tū bhī
faqat hijr kī dāstāñ kā
asātīr kī shakl-o-sūrat meñ
dohrā ke ham ko sunātā rahegā
vahī naġhma-e-soz-o-sāz
silsila-hā-e-dūr-o-darāz
raat ke nau baje the
tire dar pe sar rakh ke sajde meñ royā ki soyā
to sub.h ke nau baj ga.e
raat ko din ke dāman meñ dhoyā
miTā.ī siyāhī bahut qalb-o-jāñ kī
tirī ruuh ke saañs kī hai qasam
jo tū ne kabhī mujh meñ phūñkī
usī naġhma-e-nūr se
apnī hastī ke zarre pirone kī koshish bahut kī
magar ḳhaak meñ bhī to ālūdgī hai
vajūd apne zindāñ se pā.egā kaise najāt
kisī taur mumkin bhī hai
ki ḳhirad ḳhuun aur ḳhaak
ḳhvāhish ḳhayāl aur ḳhvāb
milā deñ mujhe merī miTTī kī ḳhushbū se
ḳhud-kushī kī ka.ī sūratoñ se guzarnā paḌā hai
ḳhudī ko
safar kar ke dekhā ka.ī ālamoñ meñ
sitāroñ se aage
jahānoñ se aage
ḳhudī kī ḳhudā.ī faqat ḳhud-kushī hai
tirī aarzū kī vahī tishnagī hai
yahī tishnagī tere dar se
kahīñ sar uThā de na merā
duā de
agar maiñ huuñ terā
agar tū hai merā
log kahte hain murakh
mulaqat ka silsila KHatm hai
magar apne jine ka maqsad mulaqat hai
tum miloge
kabhi aisa rasta bhi hum ko samjhao
jahan tum bhi aao
bahut sans jhonka bahut lafz phunke
shab-o-roz ke an-ginat zard patton ke
Dheron se Dhanpa kiye
jism apna
libaadon ki surat bahut hum ne pahna utara
bahut manzilen chhoD din
is liye hum na Thahre
ki teri taraf hum rawana rahen
magar apni hijrat ki manzil kabhi aaegi bhi
ki rasiya hai tu bhi
faqat hijr ki dastan ka
asatir ki shakl-o-surat mein
dohra ke hum ko sunata rahega
wahi naghma-e-soz-o-saz
silsila-ha-e-dur-o-daraaz
raat ke nau baje the
tere dar pe sar rakh ke sajde mein roya ki soya
to subh ke nau baj gae
raat ko din ke daman mein dhoya
miTai siyahi bahut qalb-o-jaan ki
teri ruh ke sans ki hai qasam
jo tu ne kabhi mujh mein phunki
usi naghma-e-nur se
apni hasti ke zarre pirone ki koshish bahut ki
magar KHak mein bhi to aaludgi hai
wajud apne zindan se paega kaise najat
kisi taur mumkin bhi hai
ki KHirad KHun aur KHak
KHwahish KHayal aur KHwab
mila den mujhe meri miTTi ki KHushbu se
KHud-kushi ki kai suraton se guzarna paDa hai
KHudi ko
safar kar ke dekha kai aalamon mein
sitaron se aage
jahanon se aage
KHudi ki KHudai faqat KHud-kushi hai
teri aarzu ki wahi tishnagi hai
yahi tishnagi tere dar se
kahin sar uTha de na mera
dua de
agar main hun tera
agar tu hai mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.