sajda
phir usī shoḳh kā ḳhayāl aayā
phir nazar meñ vo ḳhush-jamāl aayā
phir taḌapne lagā dil-e-muztar
phir barasne lagā hai dīda-e-tar
yaad aa.iiñ vo chāñdnī rāteñ
vo hañsī khel dil-lagī bāteñ
shab-e-tārīk hai ḳhamoshī hai
kal jahāñ mahv-e-aish-koshī hai
lutf sajdoñ meñ aa rahā hai mujhe
chhup ke koī bulā rahā hai mujhe
chūḌiyāñ baj rahī haiñ hāthoñ kī
aa.ī āvāz us kī bātoñ kī
uḌ rahā hai ġhubār-e-nūr-e-badan
phailtī jā rahī hai bū-e-dahan
mauj-e-tasnīm o kaif-e-ḳhuld-e-barīñ
jagmagātā badan chamaktī jabīñ
apne āñchal meñ muñh chhupā.e hue
aa rahā hai qadam baḌhā.e hue
naġhme pāzeb ke sunāte hue
baḳht-e-ḳhufta mire jagāte hue
ishva-o-nāz kā fusūñ le kar
saath ik lashkar-e-junūñ le kar
duur se muskurātā aatā hai
bijliyāñ sī girātā aatā hai
vo ki rañgīñ kiran tabassum kī
ik musalsal laḌī tarannum kī
parda-e-tan meñ raag poshīda
raag vo jis meñ aag poshīda
bāñsurī sī bajā.e jaatā hai
aag tan meñ lagā.e jaatā hai
ek duniyā-e-rañg-o-bū ban kar
ḳhūñ-shuda dil kī aarzū ban kar
na.ī dulhan kī thartharī ban kar
us ke hoñToñ kī kapkapī ban kar
mere dil meñ samā gayā koī
merī hastī pe chhā gayā koī
phir usi shoKH ka KHayal aaya
phir nazar mein wo KHush-jamal aaya
phir taDapne laga dil-e-muztar
phir barasne laga hai dida-e-tar
yaad aain wo chandni raaten
wo hansi khel dil-lagi baaten
shab-e-tarik hai KHamoshi hai
kal jahan mahw-e-aish-koshi hai
lutf sajdon mein aa raha hai mujhe
chhup ke koi bula raha hai mujhe
chuDiyan baj rahi hain hathon ki
aai aawaz us ki baaton ki
uD raha hai ghubar-e-nur-e-badan
phailti ja rahi hai bu-e-dahan
mauj-e-tasnim o kaif-e-KHuld-e-barin
jagmagata badan chamakti jabin
apne aanchal mein munh chhupae hue
aa raha hai qadam baDhae hue
naghme pazeb ke sunate hue
baKHt-e-KHufta mere jagate hue
ishwa-o-naz ka fusun le kar
sath ek lashkar-e-junun le kar
dur se muskuraata aata hai
bijliyan si giraata aata hai
wo ki rangin kiran tabassum ki
ek musalsal laDi tarannum ki
parda-e-tan mein rag poshida
rag wo jis mein aag poshida
bansuri si bajae jata hai
aag tan mein lagae jata hai
ek duniya-e-rang-o-bu ban kar
KHun-shuda dil ki aarzu ban kar
nai dulhan ki tharthari ban kar
us ke honTon ki kapkapi ban kar
mere dil mein sama gaya koi
meri hasti pe chha gaya koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.