sajda
vo ik sajda
alāmat thā jo azmat kā taqaddus kā
vahī sajda jabīnoñ se nikal kar
aaj rāhoñ aur galiyoñ meñ sajā hai
aur ab jāgīr kahlātā hai
kuchh murda-parastoñ be-zamīroñ kī
saje haiñ aaj un se
kuchh sulagte ghar
wo ek sajda
alamat tha jo azmat ka taqaddus ka
wahi sajda jabinon se nikal kar
aaj rahon aur galiyon mein saja hai
aur ab jagir kahlata hai
kuchh murda-paraston be-zamiron ki
saje hain aaj un se
kuchh sulagte ghar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.