saKHawat
saḳhāvat hai nekī kā ik bahtā dariyā
ki bachcho buḳhālat hai ḳhud jaltā sahrā
saḳhāvat meñ 'hātim' kā saanī nahīñ hai
saḳhāvat amar hai ye faanī nahīñ hai
saḳhāvat amīroñ pe hai farz bachcho
ġharīboñ kā ye haq hai tum aaj sun lo
saḳhāvat hai īmān kā ek hissa
hai barkat kā zariya saḳhāvat kā saaya
saḳhī kā hai kyā martaba tum ye jaano
hai jannat meñ us kī jagah tum ye maano
miyāñ hogī har vaqt rab kī ināyat
kifāyat ke ham-rāh kar lo saḳhāvat
ai 'hāfiz' saḳhāvat har ik lamha karnā
saḳhī ban ke jiinā saḳhī ban ke marnā
saKHawat hai neki ka ek bahta dariya
ki bachcho buKHalat hai KHud jalta sahra
saKHawat mein 'hatim' ka sani nahin hai
saKHawat amar hai ye fani nahin hai
saKHawat amiron pe hai farz bachcho
gharibon ka ye haq hai tum aaj sun lo
saKHawat hai iman ka ek hissa
hai barkat ka zariya saKHawat ka saya
saKHi ka hai kya martaba tum ye jaano
hai jannat mein us ki jagah tum ye mano
miyan hogi har waqt rab ki inayat
kifayat ke ham-rah kar lo saKHawat
ai 'hafiz' saKHawat har ek lamha karna
saKHi ban ke jina saKHi ban ke marna
- Book : Zamzame (Pg. 186)
- Author : Amjad Hussain Hafiz Karnatki
- Publication : Fareed Book Depot (Pvt. Ltd) (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.