sakhi
aaj aao sakhī batā.ūñ tujhe
an-kahī baat hai sunā.ūñ tujhe
kaise TuuTā milan kā ḳhvāb mirā
dasht meñ rah gayā sarāb mirā
tum milī ho to aaj sochtī huuñ
parda-e-rāz ko uThā hī duuñ
aaj aao sakhī batā hī duuñ
dil dhaḌaktā hai aur ye jumbish bhī
ek nākām aarzū le kar
shām-e-va.ada kī justujū le kar
yūñhī dam-bhar ko muskurātā hai
aur phir Duub Duub jaatā hai
aaj aao sakhī batā.ūñ tujhe
an-kahī baat hai sunā.ūñ tujhe
aarzū dil meñ yuuñ machaltī hai
jaise be-kal havā kā giit koī
sar kī sangat meñ man kā miit koī
dil dhaḌaktā hai ye kisī ke liye
aur machaltā hai sarḳhushī ke liye
ek ḳhushbū-ḳhirām chaltī hai
aur saaqī ba-nām chaltī hai
bāñdh kar shaam mere pallū se
raat kartī hai guftugū mujh se
aaj aao sakhī batā.ūñ tujhe
an-kahī baat hai sunā.ūñ tujhe
aaj aao sakhi bataun tujhe
an-kahi baat hai sunaun tujhe
kaise TuTa milan ka KHwab mera
dasht mein rah gaya sarab mera
tum mili ho to aaj sochti hun
parda-e-raaz ko uTha hi dun
aaj aao sakhi bata hi dun
dil dhaDakta hai aur ye jumbish bhi
ek nakaam aarzu le kar
sham-e-wada ki justuju le kar
yunhi dam-bhar ko muskuraata hai
aur phir Dub Dub jata hai
aaj aao sakhi bataun tujhe
an-kahi baat hai sunaun tujhe
aarzu dil mein yun machalti hai
jaise be-kal hawa ka git koi
sar ki sangat mein man ka mit koi
dil dhaDakta hai ye kisi ke liye
aur machalta hai sarKHushi ke liye
ek KHushbu-KHiram chalti hai
aur saqi ba-nam chalti hai
bandh kar sham mere pallu se
raat karti hai guftugu mujh se
aaj aao sakhi bataun tujhe
an-kahi baat hai sunaun tujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.