saKHt-gir aaqa
ek be-tukī nazm
aaj bistar hī meñ huuñ
kar diyā hai aaj
mere muzmahil aazā ne iz.hār-e-baġhāvat barmalā
merā jism-e-nā-tavāñ merā ġhulām-e-ebā-vafā
vāqa.ī mālūm hotā hai thakā haarā huā
aur maiñ
ek saḳht giir āqā… zamāne kā ġhulām
kis qadar majbūr huuñ
peT puujā ke liye
do qadam bhī uTh ke jā saktā nahīñ
mere chā kar paañv shal haiñ
jhuk gayā huuñ in kamīnoñ kī razā ke sāmne
sar uThā saktā nahīñ
aaj bistar hī meñ huuñ
ek be-tuki nazm
aaj bistar hi mein hun
kar diya hai aaj
mere muzmahil aaza ne izhaar-e-baghawat barmala
mera jism-e-na-tawan mera ghulam-e-eba-wafa
waqai malum hota hai thaka haara hua
aur main
ek saKHt gir aaqa… zamane ka ghulam
kis qadar majbur hun
peT puja ke liye
do qadam bhi uTh ke ja sakta nahin
mere cha kar panw shal hain
jhuk gaya hun in kaminon ki raza ke samne
sar uTha sakta nahin
aaj bistar hi mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.