sakraat
maut kī chamgādaḌeñ
kaalī kaalī chādareñ le le ke chāroñ or uḌtī haiñ
ki āñkhoñ kī har ik nannhī kiran ko Dhāñp leñ
pasliyoñ ke kaTghare se sar ko Takrātā hai dil
ḳhuun kī har buuñd meñ nashtar hai
aur har lamha
goyā santarī kī tarah se sangīn taane
le rahā hai biitī ghaḌiyoñ kā hisāb
pūchhtā hai zinda rahne kā sabab
kaun jaane jiite rahne kā azaab
maut ki chamgadaDen
kali kali chadaren le le ke chaaron or uDti hain
ki aankhon ki har ek nannhi kiran ko Dhanp len
pasliyon ke kaTghare se sar ko Takraata hai dil
KHun ki har bund mein nashtar hai
aur har lamha
goya santari ki tarah se sangin tane
le raha hai biti ghaDiyon ka hisab
puchhta hai zinda rahne ka sabab
kaun jaane jite rahne ka azab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.