Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sakraat maut mein pani ka KHwab

Masood Munavvar

sakraat maut mein pani ka KHwab

Masood Munavvar

MORE BYMasood Munavvar

    Interesting Fact

    Dedicated to Faiz

    yuuñ mirī qabr banā jaise shabistān-e-nashāt

    maut jashn manā

    farsh-e-shabnam pe bichhā laal gulāboñ bisāt

    ḳhālī tāqoñ pe sajā zard sharāboñ ke zurūf

    darīchoñ pe ba-sad nāz-o-adā Tāñkne aa

    bhīnī ḳhushbū ke dhanak-rañg harīrī parde

    abhī kuchh der Thahar baano abhī daf na bajā

    na uThā soī huī kaliyoñ ke ghūñgaT na uThā

    maut agar jashn-e-mulāqāt hai aa jashn manā

    ik sitāre ko janam de

    ik sitāra ki jo us maut shab raqs kare

    maut aur raqs

    niiñd meñ bhīgī huī palkoñ pe bedār jalāl

    duur ik jañg-zada dasht meñ tasvīr-e-jamāl

    sīna-e-ḳhāk pe kohoñ tarāshīda kamāl

    aa mirī bāñhoñ meñ lahrā ke chalī aa baano

    raushnī bujh ga.ī jalne lage badanoñ ke hisār

    duur kāfūr ThanDak meñ khaḌe haiñ ashjār

    ḳhushk hai merā galā ḳhālī hai paanī gilās

    apne ashkoñ se mirī pyaas bujhā

    aa mirī qabr banā

    yun meri qabr bana jaise shabistan-e-nashat

    maut ka jashn mana

    farsh-e-shabnam pe bichha lal gulabon ki bisat

    KHali taqon pe saja zard sharabon ke zuruf

    wa darichon pe ba-sad naz-o-ada Tankne aa

    bhini KHushbu ke dhanak-rang hariri parde

    abhi kuchh der Thahar bano abhi daf na baja

    na uTha soi hui kaliyon ke ghungaT na uTha

    maut agar jashn-e-mulaqat hai aa jashn mana

    ek sitare ko janam de

    ek sitara ki jo us maut ki shab raqs kare

    maut aur raqs

    nind mein bhigi hui palkon pe bedar jalal

    dur ek jang-zada dasht mein taswir-e-jamal

    sina-e-KHak pe kohon ka tarashida kamal

    aa meri banhon mein lahra ke chali aa bano

    raushni bujh gai jalne lage badanon ke hisar

    dur kafur ki ThanDak mein khaDe hain ashjar

    KHushk hai mera gala KHali hai pani ka gilas

    apne ashkon se meri pyas bujha

    aa meri qabr bana

    Source :
    • Book : Pakistani Adab (Pg. 226)
    • Author : Dr. Rashid Amjad
    • Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
    • Edition : 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now