salam
garche likhī huī thī shahādat imaam kī
lekin mere husain ne hujjat tamām kī
zainab kī be-ridā.ī ne sar merā Dhak diyā
āġhāz-e-sub.h-e-nau huī vo shaam shaam kī
ik ḳhvāb-e-ḳhās chashm-e-mohammad meñ thā chhupā
ta.abīr nūr-e-ain-e-mohammad ne aam kī
bachchoñ kī pyaas mālik-e-kausar pe shaaq thī
saaqī ko varna mai kī zarūrat na jaam kī
hur sā nasīb bādshahoñ ko nahīñ nasīb
aaqā se mil rahī thī gavāhī ġhulām kī
dariyā pe tishna-lab haiñ pe sahrā meñ shād-kām
duniyā ajab hai un ke safar aur qayām kī
de kar razā jo chehra-e-shabbīr zard hai
thī iltijā-e-jang ye kis lāla-fām kī
garche likhi hui thi shahadat imam ki
lekin mere husain ne hujjat tamam ki
zainab ki be-ridai ne sar mera Dhak diya
aaghaz-e-subh-e-nau hui wo sham sham ki
ek KHwab-e-KHas chashm-e-mohammad mein tha chhupa
tabir nur-e-ain-e-mohammad ne aam ki
bachchon ki pyas malik-e-kausar pe shaq thi
saqi ko warna mai ki zarurat na jam ki
hur sa nasib baadshahon ko nahin nasib
aaqa se mil rahi thi gawahi ghulam ki
dariya pe tishna-lab hain pe sahra mein shad-kaam
duniya ajab hai un ke safar aur qayam ki
de kar raza jo chehra-e-shabbir zard hai
thi iltija-e-jang ye kis lala-fam ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.