salamat sabucha tera saqiya
azal bhūlā-bisrā sā ik ḳhvāb hī
sahī
band ik baab hī vo sadā ke liye
magar bārhā
harf-e-haq lauh-e-jāñ se miTāyā gayā jab
ba-anvā.a-e-jabr
azal hī vo misra uThānā abad tak jise nā-guzīr
dhamāke se pahle kī ik sansanī
banī imtihāñ-gāh meñ
ḳhauf-o-dahshat ke ham-dosh ik zimmedārī kā baar
yahāñ ham na hote jo ummīd-vār
to hote koī aur apne hī vo ham-nazhād
zamīñ āsmāñ faḳhr se aur ġhubār-e-pas-o-pesh ham
dekhte in ko kis rashk se
savālāt pechāk se irtiqā ke juḌe be-shumār
vo hal kar rahe haiñ
fatānat meñ shāmil diyānat ke saath
sitāroñ kī taqdīm ko kis ne dekhā hai
lazzat-kash intizār
jarīde meñ sabt apne naam
jahāñ dekh pā.eñge
sat.h-e-vajūd
vo hai duur kitnī
jahāñ jā ke aalam tamām
tirā mai-kadā sāqiyā
abhī āb-o-gil meñ guñdhī
aur abhī parda-e-ġhaib se jhāñktī yād-dāsht
bahut us ne dekhe tulū-o-ġhurūb
bahut pesha-var sach kā phailā huā kārobār
jarā.em kī jin ke tanāvar tane
ye fannī mahārat kī ik bartarī
aur vo power sipar
mukāfāt kī un ke sar par jo rut aa ga.ī
sutūñ-dar-sutūñ thā dhuāñ ug rahā
un ke thāloñ ke beach
natīje kī fihrist se naam kitne
ki bajtā thā Dañkā kabhī jin kā
ho kar rahe lāpata
na koī dhamāka na koī jhamāka
na duniyā dulhan
pakaḌ kar jakaḌ kar jalā.ī ga.ī
qalam ke navishte se panpā huā ḳhvāb-zār
vahīñ tak hai sarsabz
khoyā qalam ne jahāñ tak nahīñ e'tibār
magar pāsbān-e-mafādāt said
qalam ne jahāñ likh diyā urf sayyād kā
vahīñ shāḳh-e-zaitūn
gul-dān ārā.ishī kā asāsa banī
qalam ko bachā
harf-e-haq kī sazā
bhugatne kī ḳhātir sadā
sāqiyā
salāmat sabūcha tirā
azal bhula-bisra sa ek KHwab hi
sahi
band ek bab hi wo sada ke liye
magar barha
harf-e-haq lauh-e-jaan se miTaya gaya jab
ba-anwaa-e-jabr
azal hi wo misra uThana abad tak jise na-guzir
dhamake se pahle ki ek sansani
bani imtihan-gah mein
KHauf-o-dahshat ke ham-dosh ek zimmedari ka bar
yahan hum na hote jo ummid-war
to hote koi aur apne hi wo ham-nazhad
zamin aasman faKHr se aur ghubar-e-pas-o-pesh hum
dekhte in ko kis rashk se
sawalat pechaak se irtiqa ke juDe be-shumar
wo hal kar rahe hain
fatanat mein shamil diyanat ke sath
sitaron ki taqdim ko kis ne dekha hai
lazzat-kash intizar
jaride mein sabt apne nam
jahan dekh paenge
sath-e-wajud
wo hai dur kitni
jahan ja ke aalam tamam
tera mai-kada saqiya
abhi aab-o-gil mein gundhi
aur abhi parda-e-ghaib se jhankti yaad-dasht
bahut us ne dekhe tulu-o-ghurub
bahut pesha-war sach ka phaila hua karobar
jaraem ki jin ke tanawar tane
ye fanni mahaarat ki ek bartari
aur wo power sipar
mukafat ki un ke sar par jo rut aa gai
sutun-dar-sutun tha dhuan ug raha
un ke thaalon ke beach
natije ki fihrist se nam kitne
ki bajta tha Danka kabhi jin ka
ho kar rahe lapata
na koi dhamaka na koi jhamaka
na duniya dulhan
pakaD kar jakaD kar jalai gai
qalam ke nawishte se panpa hua KHwab-zar
wahin tak hai sarsabz
khoya qalam ne jahan tak nahin e'tibar
magar pasban-e-mafadat said
qalam ne jahan likh diya urf sayyaad ka
wahin shaKH-e-zaitun
gul-dan aaraishi ka asasa bani
qalam ko bacha
harf-e-haq ki saza
bhugatne ki KHatir sada
saqiya
salamat sabucha tera
- Book : Silsila-e-makalmat (Pg. 89)
- Author : Shafique Fatma Shora
- Publication : Educational Publishing House (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.