salma ki guDiya
ye hai vo guḌiyā
aafat kī puḌiyā
salmā ne jis ko
beTī banāyā
ye hai vo chūhā
bhūrā lanDūrā
bhūkā chaTorā
guḌiyā ko jis ne
chuTiyā se khīñchā
panjoñ meñ bhīñchā
guḌiyā vo guḌiyā
aafat kī puḌiyā
salmā ne jis ko
beTī banāyā
ye hai vo billī
moTī muTallī
āñkhoñ pe jis kī
chhā.ī thī jhillī
nau sau vo chūhe
khā kar chalī thī
haj kar ke palTī
chūhe ko dekhā
lalchā.ī jī meñ
tauba ko toḌā
āñgan meñ rapTī
chūhe pe jhapTī
chūhā banā vo
bas ik nivāla
thī nā vo āḳhir
chūhoñ kī ḳhāla
chūhā vo chūhā
bhūrā lanDūrā
bhūkā chaTorā
guḌiyā ko jis ne
chuTiyā se khīñchā
panjoñ meñ bhīñchā
guḌiyā vo guḌiyā
aafat kī puḌiyā
salmā ne jis ko
beTī banāyā
ye hai vo kuttā
kaalā kalūTā
ḳhūñ-ḳhār nazreñ
khujlī kā maarā
billī ko jis ne
aa ke dabochā
aur phir ragedā
aur phir bhañbhoḌā
billī vo billī
moTī muTallī
āñkhoñ pe jis kī
chhā.ī thī jhillī
nau sau vo chūhe
khā kar chalī thī
haj kar ke palTī
chūhe ko dekhā
lalchā.ī jī meñ
tauba ko toḌā
āñgan meñ rapTī
chūhe pe jhapTī
chūhā banā vo
bas ik nivāla
thī na vo āḳhir
chūhoñ kī ḳhāla
chūhā vo chūhā
bhūrā lanDūrā
bhūkā chaTorā
guḌiyā ko jis ne
chuTiyā se khīñchā
guḌiyā vo guḌiyā
aafat kī puḌiyā
beTī banāyā
ye hai vo gaay
biphrī sī haa.e
allāh bachā.e
haiñ siiñg jis ke
tez aur nukīle
kutte ko jis ne
sīñgoñ meñ apne
le ke uchhālā
dhartī pe paTḳhā
sar us kā chaTḳhā
kuttā vo kuttā
kaalā kalūTā
ḳhūñ-ḳhār nazreñ
khujlī kā maarā
billī ko jis ne
aa ke dabochā
aur phir ragedā
aur phir bhañbhoḌā
billī vo billī
moTī aur muTallī
āñkhoñ pe jis kī
chhā.ī thī jhillī
nau sau vo chūhe
khā kar chalī thī
haj kar ke palTī
chūhe ko dekhā
lalchā.ī jī meñ
tauba ko toḌā
āñgan meñ rapTī
chūhe pe jhapTī
chūhā banā vo
bas ik nivāla
thī nā vo āḳhir
chūhoñ kī ḳhāla
chūhā vo chūhā
bhūrā lanDūrā
bhūkā chaTorā
guḌiyā ko jis ne
chuTiyā se khīñchā
panjoñ meñ bhīñchā
guḌiyā vo guḌiyā
aafat kī puḌiyā
salmā ne jis ko
beTī banāyā
ye hai wo guDiya
aafat ki puDiya
salma ne jis ko
beTi banaya
ye hai wo chuha
bhura lanDura
bhuka chaTora
guDiya ko jis ne
chuTiya se khincha
panjon mein bhincha
guDiya wo guDiya
aafat ki puDiya
salma ne jis ko
beTi banaya
ye hai wo billi
moTi muTalli
aankhon pe jis ki
chhai thi jhilli
nau sau wo chuhe
kha kar chali thi
haj kar ke palTi
chuhe ko dekha
lalchai ji mein
tauba ko toDa
aangan mein rapTi
chuhe pe jhapTi
chuha bana wo
bas ek niwala
thi na wo aaKHir
chuhon ki KHala
chuha wo chuha
bhura lanDura
bhuka chaTora
guDiya ko jis ne
chuTiya se khincha
panjon mein bhincha
guDiya wo guDiya
aafat ki puDiya
salma ne jis ko
beTi banaya
ye hai wo kutta
kala kaluTa
KHun-KHar nazren
khujli ka mara
billi ko jis ne
aa ke dabocha
aur phir rageda
aur phir bhanbhoDa
billi wo billi
moTi muTalli
aankhon pe jis ki
chhai thi jhilli
nau sau wo chuhe
kha kar chali thi
haj kar ke palTi
chuhe ko dekha
lalchai ji mein
tauba ko toDa
aangan mein rapTi
chuhe pe jhapTi
chuha bana wo
bas ek niwala
thi na wo aaKHir
chuhon ki KHala
chuha wo chuha
bhura lanDura
bhuka chaTora
guDiya ko jis ne
chuTiya se khincha
guDiya wo guDiya
aafat ki puDiya
beTi banaya
ye hai wo gay
biphri si hae
allah bachae
hain sing jis ke
tez aur nukile
kutte ko jis ne
singon mein apne
le ke uchhaala
dharti pe paTKHa
sar us ka chaTKHa
kutta wo kutta
kala kaluTa
KHun-KHar nazren
khujli ka mara
billi ko jis ne
aa ke dabocha
aur phir rageda
aur phir bhanbhoDa
billi wo billi
moTi aur muTalli
aankhon pe jis ki
chhai thi jhilli
nau sau wo chuhe
kha kar chali thi
haj kar ke palTi
chuhe ko dekha
lalchai ji mein
tauba ko toDa
aangan mein rapTi
chuhe pe jhapTi
chuha bana wo
bas ek niwala
thi na wo aaKHir
chuhon ki KHala
chuha wo chuha
bhura lanDura
bhuka chaTora
guDiya ko jis ne
chuTiya se khincha
panjon mein bhincha
guDiya wo guDiya
aafat ki puDiya
salma ne jis ko
beTi banaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.