saloni sardiyon ki nazm
purāne boot haiñ tasme khule haiñ
abhī miTTī ke chehre un-dhule haiñ
sharābeñ aur mashkīza sahar kā
abhī hai jism pākīza gajar kā
sute chehre pe istehzā kā mausam
lahū nabzoñ se ḳhālī kar gayā hai
gale meñ mulk ke ta.avīz Daalo
bidesī barchhiyoñ se Dar gayā hai
ġhazal dālān meñ rakkhī hai maiñ ne
mahak hai sañgtare kī qaash jaisī
ye kaisī mai hai jo chakkhī hai maiñ ne
mujhe ushshāq ye kahte haiñ 'āmir'
bahut tanhā sisakte dahr meñ ho!
baḌe shā.er ho chhoTe shahr meñ ho
fareb-e-asr se mad.hosh kamrā
nigoḌī titliyoñ se bhar gayā hai
samundar piñDliyoñ tak aate aate
kisī patthar kī sil par mar gayā hai
salonī sardiyoñ se jhāñkte haiñ
vo abrū kashtiyoñ ko hāñkte haiñ
sileTī bādaloñ kā ye sahīfa
mirī muTThī meñ paḌhtā hai vazīfa
maiñ rotā huuñ to ro paḌte haiñ taa.ir
mire hujre meñ kam aate haiñ zaa.er
ye poreñ nūr-bāfī kar rahī haiñ
mohabbat ko ġhilāfī kar rahī haiñ
tafāḳhur meñ hai do hoñToñ kā ḳham bhī
abhī rakkhā nahīñ maiñ ne qalam bhī
purane boot hain tasme khule hain
abhi miTTi ke chehre un-dhule hain
sharaben aur mashkiza sahar ka
abhi hai jism pakiza gajar ka
sute chehre pe istehza ka mausam
lahu nabzon se KHali kar gaya hai
gale mein mulk ke tawiz Dalo
bidesi barchhiyon se Dar gaya hai
ghazal dalan mein rakkhi hai main ne
mahak hai sangtare ki qash jaisi
ye kaisi mai hai jo chakkhi hai main ne
mujhe ushshaq ye kahte hain 'amir'
bahut tanha sisakte dahr mein ho!
baDe shaer ho chhoTe shahr mein ho
fareb-e-asr se madhosh kamra
nigoDi titliyon se bhar gaya hai
samundar pinDliyon tak aate aate
kisi patthar ki sil par mar gaya hai
saloni sardiyon se jhankte hain
wo abru kashtiyon ko hankte hain
sileTi baadalon ka ye sahifa
meri muTThi mein paDhta hai wazifa
main rota hun to ro paDte hain tair
mere hujre mein kam aate hain zaer
ye poren nur-bafi kar rahi hain
mohabbat ko ghilafi kar rahi hain
tafaKHur mein hai do honTon ka KHam bhi
abhi rakkha nahin main ne qalam bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.