samar-farosh
samar-farosh kī nigāh-e-dūrbīn meñ
añdherā darmiyān se phaTā
bahut se sabz-posh the
ki jin kā reshmīñ labāda surḳh thā
gul-e-anār surḳh hoñToñ se ziyāda surḳh thā
pake hue phaloñ kī ḳhushbueñ thiiñ mujtama'
ghulī na thī abhī ahāta-e-siyāh meñ havā
pake hue phaloñ bharī mahak abhī uḌī na thī
maqām-e-muttasil se be-ḳhabar
naqāb-dar-naqāb muḳhtasar sī ek bel
thī chhupī huī
dulhan kī tarh apne aap meñ
abhī hile nahīñ haiñ shāḳhche
larzanī hai abhī navā-e-ḳhush mo.azzin-e-javān kī
abhī tuyūr tak ḳhamosh haiñ
na jo kisī bhī zū-funūn samt se baḌhe
na jo kisī ke taaza jism-o-jān se uThe
dabīz ḳhāmushī meñ boltā
dabīz ḳhāmushī ko chīrtā sarosh hai
chhiḌak diyā kisī ne āb-e-zarfishān jhunD par
chamak uThā safed din
khulā samar-farosh ḳhushbuoñ meñ band baaġh dekh kar
hazār rangoñ vaalī titliyāñ
jo ik nahīf shāḳhche se lag ke so rahī thiiñ
jāgne lagīñ
suhāganeñ darūn toḌtī
damakte ḳhvāb ko tyāgne lagīñ
siyāh bādaloñ kī narm aur mahīn chādaroñ se
baaġh Dhāñpne lagīñ
samar-farosh kī nigāh-e-dūrbīn
samar-farosh ki nigah-e-durbin mein
andhera darmiyan se phaTa
bahut se sabz-posh the
ki jin ka reshmin labaada surKH tha
gul-e-anar surKH honTon se ziyaada surKH tha
pake hue phalon ki KHushbuen thin mujtama'
ghuli na thi abhi ahata-e-siyah mein hawa
pake hue phalon bhari mahak abhi uDi na thi
maqam-e-muttasil se be-KHabar
naqab-dar-naqab muKHtasar si ek bel
thi chhupi hui
dulhan ki tarh apne aap mein
abhi hile nahin hain shaKHche
larzani hai abhi nawa-e-KHush moazzin-e-jawan ki
abhi tuyur tak KHamosh hain
na jo kisi bhi zu-funun samt se baDhe
na jo kisi ke taza jism-o-jaan se uThe
dabiz KHamushi mein bolta
dabiz KHamushi ko chirta sarosh hai
chhiDak diya kisi ne aab-e-zarfishan jhunD par
chamak uTha safed din
khula samar-farosh KHushbuon mein band bagh dekh kar
hazar rangon wali titliyan
jo ek nahif shaKHche se lag ke so rahi thin
jagne lagin
suhaganen darun toDti
damakte KHwab ko tyagne lagin
siyah baadalon ki narm aur mahin chadaron se
bagh Dhanpne lagin
samar-farosh ki nigah-e-durbin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.