samay ho gaya
phir maqām-e-rifāqat pe mudġham huiiñ
sūiyāñ donoñ ghaḌiyāl kī
raft o aamad ke chakkar meñ
ghanTe kī āvāz meñ
merā dil kho gayā
apnī Tik-Tik meñ
bahtā rahā vaqt
kitnā samay ho gayā!
sāl-hā-sāl
paanī ke chashme se
giile kiye lab anāsir ne
jalte alaav pe
haath apne taape mazāhir ne
siine kī dhaḌkan se
nā-dīd ke rañg-o-roġhan se
ashyā ne
bīnā.ī hāsil kī
maqsūm ke tāqche se
jahāñ phuul rakkhe the
lakḌī ke sandūqche se
ḳhazāna uThā le ga.ī raat
muTThī se girte rahe
ret kī misl din!
ek din
sehn kī pīl-gūñ dhuup meñ
āhanī chārpā.ī pe leTe hue
ek jhapkī sī aa.ī
to maiñ so gayā
mere chehre pe
bārish kī ik buuñd ne
gar ke dastak dii:
baabā chalo,
apne kamre ke andar
samay ho gayā
phir maqam-e-rifaqat pe mudgham huin
suiyan donon ghaDiyal ki
raft o aamad ke chakkar mein
ghanTe ki aawaz mein
mera dil kho gaya
apni Tik-Tik mein
bahta raha waqt
kitna samay ho gaya!
sal-ha-sal
pani ke chashme se
gile kiye lab anasir ne
jalte alaw pe
hath apne tape mazahir ne
sine ki dhaDkan se
na-did ke rang-o-roghan se
ashya ne
binai hasil ki
maqsum ke taqche se
jahan phul rakkhe the
lakDi ke sanduqche se
KHazana uTha le gai raat
muTThi se girte rahe
ret ki misl din!
ek din
sehn ki pil-gun dhup mein
aahani chaarpai pe leTe hue
ek jhapki si aai
to main so gaya
mere chehre pe
barish ki ek bund ne
gar ke dastak di:
baba chalo,
apne kamre ke andar
samay ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.