samay ko aTka diya
kalā.ī kī ghaḌī ko
aaj baḌe pyaar se utārā
aur us kī kunjī ko khīñch kar
ek asafal paryās kiyā
ghaḌī ko rokne kā
phir bhī jab nā maanī ghaḌī
to
chaTkā kar us kā kāñch
kuchh ghāvoñ se
us kī ek suuī ko toḌ diyā
ghaḌī bhī ziddī qism kī hai
rukne kā naam nahīñ hai letī
kitnā mushkil hai
vaqt ko pakaḌ kar rakhnā
yā bāñdhnā use kisī vāqiye ke saath
kuchh bigḌegā kyā us kā
yadi vo kuchh der Thahar jā.egā to
āḳhir meñ ek suuī ko
pakaḌ kar moḌ diyā
kuchh is tarah ki
aTak jaa.e vo vaqt vahī
maiñ un lamhoñ ko mahsūs kartā rahūñ
vo lamha jahāñ maiñ kuchh bhī nahīñ
lekin ġham bhī nahīñ
mere kuchh nā hone kā
ab aTkā kar samay ko
maiñ mauj manā.ūñgā
kalai ki ghaDi ko
aaj baDe pyar se utara
aur us ki kunji ko khinch kar
ek asafal paryas kiya
ghaDi ko rokne ka
phir bhi jab na mani ghaDi
to
chaTka kar us ka kanch
kuchh ghawon se
us ki ek sui ko toD diya
ghaDi bhi ziddi qism ki hai
rukne ka nam nahin hai leti
kitna mushkil hai
waqt ko pakaD kar rakhna
ya bandhna use kisi waqiye ke sath
kuchh bigDega kya us ka
yadi wo kuchh der Thahar jaega to
aaKHir mein ek sui ko
pakaD kar moD diya
kuchh is tarah ki
aTak jae wo waqt wahi
main un lamhon ko mahsus karta rahun
wo lamha jahan main kuchh bhi nahin
lekin gham bhi nahin
mere kuchh na hone ka
ab aTka kar samay ko
main mauj manaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.