samjhauta
1
bahut purānī koī udāsī
badan khañDar meñ paḌī huī hai
zehn ke tāqoñ meñ kitnī yādoñ kī ab bhī kālak jamī huī hai
hai dard koī ragoñ meñ bahtā ḳhamosh jaise
haiñ ashk kuchh jo talāshte haiñ
bahāne āñkhoñ se jhāñkne ke
haiñ zaḳhm kuchh be-qarār rahte haiñ jaise khulne ko har ghaḌī ye
kamāl ye hai
ki jhūTī muskān ik sajā kar
maiñ har aziyyat dabā gayā huuñ
sabhī ko lagtā hai Thiik hai sab
na.e marāsim banā ke ḳhush huuñ
kahāñ maiñ jā.ūñ
ki saarī chīzoñ se
har jagah se to us kī yādeñ juḌī huī haiñ
ye beḌiyāñ to hamāre pairoñ meñ jaane kab se paḌī huī haiñ
vo baa'd muddat ke
ab bhī utnā bharā hai mujh meñ
baġhair us ke to is shahr kā har ek rastā
tamām galiyāñ
bāzār cafe
nazar meñ jaise
suuī kī mānind chubh rahe haiñ
vahī theater hai corner kī vahī do seateñ
hai film parde pe comedy ik
sabhī tamāshā.ī ek lai meñ ḳhushī meñ Duube hue Thahāke lagā rahe haiñ
jagah pe us kī
hamāre pahlū meñ shaḳhs baiThā huā hai koī
hamāre kāñdhe pe us kā sar hai
ham apne andar sisak rahe haiñ
1
bahut purani koi udasi
badan khanDar mein paDi hui hai
zehn ke taqon mein kitni yaadon ki ab bhi kalak jami hui hai
hai dard koi ragon mein bahta KHamosh jaise
hain ashk kuchh jo talashte hain
bahane aankhon se jhankne ke
hain zaKHm kuchh be-qarar rahte hain jaise khulne ko har ghaDi ye
kamal ye hai
ki jhuTi muskan ek saja kar
main har aziyyat daba gaya hun
sabhi ko lagta hai Thik hai sab
nae marasim bana ke KHush hun
kahan main jaun
ki sari chizon se
har jagah se to us ki yaaden juDi hui hain
ye beDiyan to hamare pairon mein jaane kab se paDi hui hain
wo ba'd muddat ke
ab bhi utna bhara hai mujh mein
baghair us ke to is shahr ka har ek rasta
tamam galiyan
bazar cafe
nazar mein jaise
sui ki manind chubh rahe hain
wahi theater hai corner ki wahi do seaten
hai film parde pe comedy ek
sabhi tamashai ek lai mein KHushi mein Dube hue Thahake laga rahe hain
jagah pe us ki
hamare pahlu mein shaKHs baiTha hua hai koi
hamare kandhe pe us ka sar hai
hum apne andar sisak rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.