samjhauta
2
sab rote haiñ chillāte haiñ
mire yaar mujhe samjhāte haiñ
maiñ us ke dukh meñ Duubā huuñ mire saañs ukhaḌte jaate haiñ
maiñ kitnā
hañsmukh laḌkā thā
maiñ kitnā
ḳhush ḳhush rahtā thā
mirī chhoTī sī
ik duniyā thī
mirā pyārā sā
ik sapnā thā
ik shaḳhs jo merā
apnā thā
mujhe us ke saath meñ
jiinā thā
mujhe us ke saath meñ
marnā thā
mujhe yaad vo lamhe aate haiñ mire zaḳhm ubharte jaate haiñ
vo shaḳhs nahīñ hai merā jab
mujhe āḳhir us se kyā matlab
par baaz ye dil aatā hai kab
koī us ko chhūtā hogā ab
use kaisā lagtā hogā sab
ye soch ke ruuh taḌaptī hai mire jism-o-jāñ ghabrāte haiñ
maiñ vasl kī sej pe leTā huuñ
par hijr kī aag dahaktī hai
ye bel aziyyat kī kaisī
mere jīvan se lipTī hai
ik laḌkī man se lipTī hai
ik laḌkī tan se lipTī hai
ye mujh ko chūmtī rahtī hai mire aañsū bahte jaate haiñ
chubhte haiñ kāñTe se tan meñ
kuchh zaḳhm purāne haiñ man meñ
ho tauq sā jaise gardan meñ
ik shaḳhs hai mere jīvan meñ
maiñ us kī god meñ leTā huuñ mujhe us ke sapne aate haiñ
mujhe kyā kyā sahnā paḌtā hai
mujhe us ko chhūnā paḌtā hai
jo tan kā hai nā man kā hai
kyā haal mire jīvan kā hai
mujhe niiñd nahīñ aatī lekin mujhe maut ke sapne aate haiñ
mujhe us ke naam pe dhamkā kar
mujhe qasmeñ dī thiiñ aisā kar
jise kahte haiñ use apnā kar
mire bachche tū samjhautā kar
maiñ ab ik zinda-murda huuñ sab rote haiñ chillāte haiñ
maiñ us ke dukh meñ Duubā huuñ mire saañs ukhaḌte jaate haiñ
2
sab rote hain chillate hain
mere yar mujhe samjhate hain
main us ke dukh mein Duba hun mere sans ukhaDte jate hain
main kitna
hansmukh laDka tha
main kitna
KHush KHush rahta tha
meri chhoTi si
ek duniya thi
mera pyara sa
ek sapna tha
ek shaKHs jo mera
apna tha
mujhe us ke sath mein
jina tha
mujhe us ke sath mein
marna tha
mujhe yaad wo lamhe aate hain mere zaKHm ubharte jate hain
wo shaKHs nahin hai mera jab
mujhe aaKHir us se kya matlab
par baz ye dil aata hai kab
koi us ko chhuta hoga ab
use kaisa lagta hoga sab
ye soch ke ruh taDapti hai mere jism-o-jaan ghabraate hain
main wasl ki sej pe leTa hun
par hijr ki aag dahakti hai
ye bel aziyyat ki kaisi
mere jiwan se lipTi hai
ek laDki man se lipTi hai
ek laDki tan se lipTi hai
ye mujh ko chumti rahti hai mere aansu bahte jate hain
chubhte hain kanTe se tan mein
kuchh zaKHm purane hain man mein
ho tauq sa jaise gardan mein
ek shaKHs hai mere jiwan mein
main us ki god mein leTa hun mujhe us ke sapne aate hain
mujhe kya kya sahna paDta hai
mujhe us ko chhuna paDta hai
jo tan ka hai na man ka hai
kya haal mere jiwan ka hai
mujhe nind nahin aati lekin mujhe maut ke sapne aate hain
mujhe us ke nam pe dhamka kar
mujhe qasmen di thin aisa kar
jise kahte hain use apna kar
mere bachche tu samjhauta kar
main ab ek zinda-murda hun sab rote hain chillate hain
main us ke dukh mein Duba hun mere sans ukhaDte jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.