samjhauta
samjhaute ke dālānoñ kī
har chiiz sajal sī hotī hai
har taaq sajā sā lagtā hai
ik farz-e-musalsal kī dhun par
do pair thirakte rahte haiñ
hāthoñ kī lakīroñ meñ likkhe
do bol
khanakte rahte haiñ
himmat kī chaTaḳhtī shāḳhoñ se
kachche din toḌe jaate haiñ
aur paal lagā.ī jaatī hai
rātoñ ke baan ke bistar par
tahzīb ke gūñge jismoñ kī
sanjāb bichā.ī jaatī hai
har chiiz sajal lagtī hai magar
ik harā bharā shādāb badan
dekhe meñ ghanerā lagtā hai
aur andar galtā jaatā hai
gardish meñ lahū kī tah-dar-tah
ik ret utartī jaatī hai
aur silvaT silvaT sāñso meñ
be-rahm ghane sannāTe kī
ik kaa.ī sī jamtī jaatī hai
samjhaute ke
chikne ujle dālānoñ meñ
ik jism dharā rah jaatā hai
aur andar andar ik dīmak
saarī raunaq khā jaatī hai
samjhaute ke dalanon ki
har chiz sajal si hoti hai
har taq saja sa lagta hai
ek farz-e-musalsal ki dhun par
do pair thirakte rahte hain
hathon ki lakiron mein likkhe
do bol
khanakte rahte hain
himmat ki chaTaKHti shaKHon se
kachche din toDe jate hain
aur pal lagai jati hai
raaton ke ban ke bistar par
tahzib ke gunge jismon ki
sanjab bichai jati hai
har chiz sajal lagti hai magar
ek hara bhara shadab badan
dekhe mein ghanera lagta hai
aur andar galta jata hai
gardish mein lahu ki tah-dar-tah
ek ret utarti jati hai
aur silwaT silwaT sanso mein
be-rahm ghane sannaTe ki
ek kai si jamti jati hai
samjhaute ke
chikne ujle dalanon mein
ek jism dhara rah jata hai
aur andar andar ek dimak
sari raunaq kha jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.