samton ka zawal
jidhar tum ho
usī jānib manāzir aañkh malte haiñ
tumhārī samt hai shahr-e-nigārāñ, chāñd kī nagrī
zamīñ kī god meñ hañstī huī fasloñ kī shādābī
machaltī naddiyoñ kā shor niilī pur-sukūñ jhīleñ
pahāḌoñ par rupahlī dhuup aur peḌoñ kī añgnā.ī
makānoñ ke haram ābādiyoñ ke jāgte manzar
tumhārī samt hai jismoñ kī chāñdī saañs ke mele
diloñ kī dhaḌkaneñ āvāz kī jaltī huī sham.eñ
mirī jānib sulagtī ret taptī dhuup ke sahrā
ghane jañgal haiñ vīrānoñ kī nā-bīnā rifāqat hai
zamīñ hai jis ke āñgan meñ salībeñ īstāda haiñ
ḳhamoshī hai lahū jo chāTtī hai apne zaḳhmoñ kā
mirī jānib shikasta pattharoñ se khelte manzar
safar lambā hai yak-rañgī se ham tum uub jā.eñge
chalo kuchh der chashm-e-shauq ke pahlū badal Dāleñ
jidhar tum ho
usi jaanib manazir aankh malte hain
tumhaari samt hai shahr-e-nigaran, chand ki nagri
zamin ki god mein hansti hui faslon ki shadabi
machalti naddiyon ka shor nili pur-sukun jhilen
pahaDon par rupahli dhup aur peDon ki angnai
makanon ke haram aabaadiyon ke jagte manzar
tumhaari samt hai jismon ki chandi sans ke mele
dilon ki dhaDkanen aawaz ki jalti hui shamen
meri jaanib sulagti ret tapti dhup ke sahra
ghane jangal hain viranon ki na-bina rifaqat hai
zamin hai jis ke aangan mein saliben istada hain
KHamoshi hai lahu jo chaTti hai apne zaKHmon ka
meri jaanib shikasta pattharon se khelte manzar
safar lamba hai yak-rangi se hum tum ub jaenge
chalo kuchh der chashm-e-shauq ke pahlu badal Dalen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.