samundar aasman aur main
khulīñ jo āñkheñ to sar pe niilā falak tanā thā
chahār-jānib siyāh paanī kī tund maujoñ kā ġhalġhala thā
havā.eñ chīḳhoñ ko aur karāhoñ ko le ke chaltī thiiñ aur miTTī
kī zard ḳhushbū meñ maut-mausam kā zā.iqa thā
nazar manāzir meñ Duub kar bhī misāl-e-shīsha tahī thī yaanī
gul-e-tamāshā nahīñ khilā thā
hirās jazboñ kī rahguzar meñ dil-e-ta.ajjub-zada akelā
ḳhamosh tanhā bhaTak rahā thā
ki ek saa.e kī narm aahaT ne rāstoñ kā nasīb badlā
koī ta.alluq ke chāñd lahje meñ apne-pan kī adā se bolā
''mire musāfir udaas mat ho ki ahd-e-furqat hī zindagī hai
ye fāsloñ kī ḳhalīj rāh-e-visāl hai aur talab nigāhoñ kī raushnī hai
tamām chīzeñ tumhāre mere
badan ke rishtoñ kā silsila haiñ
tumheñ ḳhabar hai ki ham samundar
aur āsmānoñ kī intihā haiñ!''
khulin jo aankhen to sar pe nila falak tana tha
chahaar-jaanib siyah pani ki tund maujon ka ghalghala tha
hawaen chiKHon ko aur karahon ko le ke chalti thin aur miTTi
ki zard KHushbu mein maut-mausam ka zaiqa tha
nazar manazir mein Dub kar bhi misal-e-shisha tahi thi yani
gul-e-tamasha nahin khila tha
hiras jazbon ki rahguzar mein dil-e-tajjub-zada akela
KHamosh tanha bhaTak raha tha
ki ek sae ki narm aahaT ne raston ka nasib badla
koi talluq ke chand lahje mein apne-pan ki ada se bola
mire musafir udas mat ho ki ahd-e-furqat hi zindagi hai
ye faslon ki KHalij rah-e-visal hai aur talab nigahon ki raushni hai
tamam chizen tumhaare mere
badan ke rishton ka silsila hain
tumhein KHabar hai ki hum samundar
aur aasmanon ki intiha hain!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.