samundar agar mere andar aa gire
samundar agar mere andar aa gire
tū pāyāb lahroñ meñ Dhal ke sulagne lage
pyaas ke be-nishāñ dasht meñ
whale machhlī kī sūrat taḌapne lage
horpunoñ se nezoñ se chhalnī badan par
dahaktī huī ret ke tez char ke sahe
aur phir ret par jhaag ke kuchh nishāñ chhoḌ kar
tā-abad sar-burīda se sāhil ke saa.e meñ
hone na hone kī mīThī aziyyat meñ khoyā rahe
ye hone na hone kī mīThī aziyyat bhī kyā hai
nigāheñ uThā.ūñ to hadd-e-nazar tak
azal aur abad ke sutūnoñ pe bārīk sā ek ḳhema tanā hai
na hone kā ye ruup kitnā nayā hai
aur ḳheme ke andar
karoḌoñ sitāroñ kā mela lagā hai
ye hone kā bahrūp lā-intihā hai
mirā jism
resham kā sad-chāk ḳhema
kisī be-karāñ dasht meñ be-sahārā khaḌā hai
magar jab maiñ āñkheñ jhukā.ūñ
to us sard ḳheme ke andar
karoḌoñ taḌapte hue tund zarroñ kā ik dasht phailā huā hai
ye hone na hone kī mīThī aziyyat
ajab mājrā hai
samundar agar mere andar aa gire
tu payab lahron mein Dhal ke sulagne lage
pyas ke be-nishan dasht mein
whale machhli ki surat taDapne lage
horpunon se nezon se chhalni badan par
dahakti hui ret ke tez char ke sahe
aur phir ret par jhag ke kuchh nishan chhoD kar
ta-abad sar-burida se sahil ke sae mein
hone na hone ki miThi aziyyat mein khoya rahe
ye hone na hone ki miThi aziyyat bhi kya hai
nigahen uThaun to hadd-e-nazar tak
azal aur abad ke sutunon pe barik sa ek KHema tana hai
na hone ka ye rup kitna naya hai
aur KHeme ke andar
karoDon sitaron ka mela laga hai
ye hone ka bahrup la-intiha hai
mera jism
resham ka sad-chaak KHema
kisi be-karan dasht mein be-sahaara khaDa hai
magar jab main aankhen jhukaun
to us sard KHeme ke andar
karoDon taDapte hue tund zarron ka ek dasht phaila hua hai
ye hone na hone ki miThi aziyyat
ajab majra hai
- Book : Nirdbaan (Pg. 53)
- Author : Wazir Agha
- Publication : Nusrat Anwar (1979)
- Edition : 1979
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.