samundar ka KHayal
apnī dahlīz pe khaḌā tanhā
apnā ghar ajnabī sā lagtā thā
us kī ruḳhsat thī mānind-e-parvāz
har taraf abtarī kā manzar thā
ek luknat-zada sī vīrānī
dar-o-dīvār pe thī hairānī
larazte aañsū aur dukhtā huā sar
rokte the use paimā.ish-e-vīrānī se
vo ki soyā hai yā ki jaagā hai
sub.h se kyoñ ye samundar kā ḳhayāl zehn meñ aaj thapeḌe maare
kohar-ālūd band darīchoñ meñ
jo vasī.a kā.enāt chhuptī hai
nā-umīdī kī nīlgūñ chādar ek samundar sī phail jaatī hai
kyoñ ye rah rah ke samundar kā ḳhayāl zehn meñ aaj thapeḌe maare
kitnī mānūs thī qarīb thī vo
jaise sāhil ho ik samundar se
be-karāñ mauj jaise sāhil kī god meñ aa ke hī dam letī hai
us kī tasvīr us ke hilte lab
saare manzar haiñ zer-e-āb kahīñ
ik talātum ke baad sarkanDe
jaise pātāl meñ chhup jaate haiñ
kyoñ ye rah rah ke samundar kā ḳhayāl zehn meñ aaj thapeḌe maare
shaam ke dūdhiyā dhuñdlakoñ meñ
tanhā tanhā udaas phirtā hai
raat jab siskiyoñ meñ Dhaltī hai
phir samundar kī yaad aatī hai
ye hasīñ vādiyāñ us se mānūs thiiñ us kī jāgīr thiiñ
ek tūfān paiham havā meñ ḳharosh
sab hasīñ vādiyāñ yak-ba-yak so ga.iiñ
apni dahliz pe khaDa tanha
apna ghar ajnabi sa lagta tha
us ki ruKHsat thi manind-e-parwaz
har taraf abtari ka manzar tha
ek luknat-zada si virani
dar-o-diwar pe thi hairani
larazte aansu aur dukhta hua sar
rokte the use paimaish-e-virani se
wo ki soya hai ya ki jaga hai
subh se kyon ye samundar ka KHayal zehn mein aaj thapeDe mare
kohar-alud band darichon mein
jo wasia kaenat chhupti hai
na-umidi ki nilgun chadar ek samundar si phail jati hai
kyon ye rah rah ke samundar ka KHayal zehn mein aaj thapeDe mare
kitni manus thi qarib thi wo
jaise sahil ho ek samundar se
be-karan mauj jaise sahil ki god mein aa ke hi dam leti hai
us ki taswir us ke hilte lab
sare manzar hain zer-e-ab kahin
ek talatum ke baad sarkanDe
jaise patal mein chhup jate hain
kyon ye rah rah ke samundar ka KHayal zehn mein aaj thapeDe mare
sham ke dudhiya dhundlakon mein
tanha tanha udas phirta hai
raat jab siskiyon mein Dhalti hai
phir samundar ki yaad aati hai
ye hasin wadiyan us se manus thin us ki jagir thin
ek tufan paiham hawa mein KHarosh
sab hasin wadiyan yak-ba-yak so gain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.