samundar ka rasta
jhiil
jahāñ se maiñ lauTā thā
sadī pahle
vahāñ vāpas pahuñchnā chāhtā huuñ
jhiil
maiñ jāntā huuñ
tum samundar nahīñ ho
maiñ ki bas nahīñ huuñ
mujhe tumhāre sivā
koī aur rāsta nahīñ ma.alūm
duniyā ke ghamsān meñ khoyā rahā huuñ
ab
achchhā nahīñ lagtā kuchh bhī
sadī ke ba.ad lauTā huuñ
maiñ
apnī zaat meñ vāpas lauTnā chāhtā huuñ
jhiil
tum merī madad karo
batāo nā
samundar kā rāsta
kis taraf ko jaatā hai
jhil
jahan se main lauTa tha
sadi pahle
wahan wapas pahunchna chahta hun
jhil
main jaanta hun
tum samundar nahin ho
main ki bas nahin hun
mujhe tumhaare siwa
koi aur rasta nahin malum
duniya ke ghamsan mein khoya raha hun
ab
achchha nahin lagta kuchh bhi
sadi ke baad lauTa hun
main
apni zat mein wapas lauTna chahta hun
jhil
tum meri madad karo
batao na
samundar ka rasta
kis taraf ko jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.