samundar ka ugla hua jhag
pyaas ke
gahre dariyāoñ ke biich
maiñ ik jazīre meñ baiThā
ḳhud apnī hī āñkhoñ kā
sadiyoñ se huuñ muntazir
ek din
un ko ehsās kī naav par
bahte jharnoñ ke pīchhe
ravāna kiyā thā
ki vo mīThe paanī se
hissa mirā maañg laa.eñ
to maiñ qarz
tishna-labī kā utārūñ
magar ab ye lagtā hai
bahte hue pāniyoñ meñ kahīñ
bahte ḳhvāboñ ke hamrāh
āñkheñ mirī bah ga.ī haiñ
ki merā muqaddar
samundar kā uglā huā jhaag hai
pyas ke
gahre dariyaon ke bich
main ek jazire mein baiTha
KHud apni hi aankhon ka
sadiyon se hun muntazir
ek din
un ko ehsas ki naw par
bahte jharnon ke pichhe
rawana kiya tha
ki wo miThe pani se
hissa mera mang laen
to main qarz
tishna-labi ka utarun
magar ab ye lagta hai
bahte hue paniyon mein kahin
bahte KHwabon ke hamrah
aankhen meri bah gai hain
ki mera muqaddar
samundar ka ugla hua jhag hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.