samundar ke pichhe samundar
samundar ke pīchhe samundar
havāoñ ke pīchhe havā.eñ
masāfat ke pīchhe masāfat
falak se umaDtī huī bārishoñ ke pare bārisheñ haiñ
manāzir ke pīchhe manāzir
samundar zamāne kī sab dūriyoñ kā baserā
kināre pe vo pul kī ik raushnī sī
aur aage añdherā
kināroñ se aage
biphartī huī dūriyoñ ke pare dūriyāñ
aur paanī ke aage bhī paanī
samundar kī saarī kahānī
vahī ik tasalsul kā dhārā
vahī jhaag ābī-parinde havāoñ ke tūfāñ
vahī duur kā ik safar hai
kahīñ aane vaale zamānoñ ke nā-dīda manzar
kahīñ par khule pāniyoñ kī masāfat meñ qazzāq sadiyoñ kā Dar hai
vahī aage baḌhne kā ik shauq jo ham-safar hai
larazte hue bādbānoñ se aage bhī phaile hue bādbāñ haiñ
jahāzoñ ke pīchhe jahāzoñ kī lambī qatāreñ
udhar Doltī kashtiyoñ se pare duur sadiyoñ ke ubhre hue fāsloñ tak
bhaTaktī huī kashtiyāñ haiñ
samundar meñ yādoñ kī sadiyoñ kā maskan
kahīñ us ko dekhā kahīñ vo balā thā
yahī manzileñ thiiñ yahī rāsta thā
vahī nīlgūñ jagmagāhaT kī uḌtī chakā-chauñd ek pal ko jhalaktā huā us kā paikar
vahī us kī dhun meñ bhaTakne kī sadiyāñ
vo lahrāte mastūl vo uThte langar
samundar ke pīchhe samundar
samundar ke pichhe samundar
hawaon ke pichhe hawaen
masafat ke pichhe masafat
falak se umaDti hui barishon ke pare barishen hain
manazir ke pichhe manazir
samundar zamane ki sab duriyon ka basera
kinare pe wo pul ki ek raushni si
aur aage andhera
kinaron se aage
bipharti hui duriyon ke pare duriyan
aur pani ke aage bhi pani
samundar ki sari kahani
wahi ek tasalsul ka dhaara
wahi jhag aabi-parinde hawaon ke tufan
wahi dur ka ek safar hai
kahin aane wale zamanon ke na-dida manzar
kahin par khule paniyon ki masafat mein qazzaq sadiyon ka Dar hai
wahi aage baDhne ka ek shauq jo ham-safar hai
larazte hue baadbanon se aage bhi phaile hue baadban hain
jahazon ke pichhe jahazon ki lambi qataren
udhar Dolti kashtiyon se pare dur sadiyon ke ubhre hue faslon tak
bhaTakti hui kashtiyan hain
samundar mein yaadon ki sadiyon ka maskan
kahin us ko dekha kahin wo bala tha
yahi manzilen thin yahi rasta tha
wahi nilgun jagmagahaT ki uDti chaka-chaund ek pal ko jhalakta hua us ka paikar
wahi us ki dhun mein bhaTakne ki sadiyan
wo lahraate mastul wo uThte langar
samundar ke pichhe samundar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.