samundar ki KHushbu
samundar kī ḳhushbū mere peT
meñ ghul rahī hai
vo zarā fāsle par hī bichhā hai
aur ḳhāmoshī se āsmān ko ḳhud ko
takte hue dekh rahā hai
maiñ ek kamre meñ
surḳh qālīn par yogā aasan karte hue
āñkheñ mūñde
apne dil kī āvāz sun rahī huuñ
jo aaj sukūn se hai
jaise koī bahut thak kar soyā ho
vasvasoñ ke darmiyān se nikal kar
maiñ apne dil kī is āsūdgī par
ḳhush huuñ
jaise koī maañ apne bīmār bachche ko
ārām se sote dekh kar
chain kā saañs letī hai
mere peT meñ samundar kī ḳhushbū
ek vaqt kī ġhizā kī tarah mujhe zinda kar rahī hai
us vaqt se pahle
jab ek baar phir mirā dil sote se
jaage
apne vasvasoñ se khelne ke liye
samundar ki KHushbu mere peT
mein ghul rahi hai
wo zara fasle par hi bichha hai
aur KHamoshi se aasman ko KHud ko
takte hue dekh raha hai
main ek kamre mein
surKH qalin par yoga aasan karte hue
aankhen munde
apne dil ki aawaz sun rahi hun
jo aaj sukun se hai
jaise koi bahut thak kar soya ho
waswason ke darmiyan se nikal kar
main apne dil ki is aasudgi par
KHush hun
jaise koi man apne bimar bachche ko
aaram se sote dekh kar
chain ka sans leti hai
mere peT mein samundar ki KHushbu
ek waqt ki ghiza ki tarah mujhe zinda kar rahi hai
us waqt se pahle
jab ek bar phir mera dil sote se
jage
apne waswason se khelne ke liye
- Book : hairat ke us paar (Pg. 64)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.