Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

samundar ki kuchh bundon se baat ki

Kamal Upadhyay

samundar ki kuchh bundon se baat ki

Kamal Upadhyay

MORE BYKamal Upadhyay

    samundar kuchh būñdoñ se baat

    vo bhī apne vajūd ko le kar vyākul haiñ

    vishāl samundar meñ kahā koī un hai suntā

    jabki un se samundar hai

    un ke binā samundar bas marusthal hai

    būñdeñ din-rāt prayatn kartī haiñ

    ek buuñd dūsre ko aage Dhakel kar

    samundar vajūd qaa.em rakhtī haiñ

    un ko ehsās hai apne hone

    lekin

    samundar har baar is baat ko bhuul jaatā hai

    sochoñ agar būñdeñ vidroh kar deñ

    banā kar dost sūraj ko

    uupar ākāsh meñ bādal se mil jaa.eñ

    ho saktā hai dostī dharā se kar leñ

    us ke gart meñ samā jaa.eñ

    suukh jā.egā samundar

    būñdoñ vajūd to hamesha banā rahegā

    samundar ko abhīmān kis baat

    kyā pata

    kyā use nahīñ patā

    kis ne kiyā us vajūd qaa.em

    miT jā.egā ek din

    bas būñdoñ ko qadam vidroh uThānā hai

    samundar ki kuchh bundon se baat ki

    wo bhi apne wajud ko le kar wyakul hain

    wishaal samundar mein kaha koi un ki hai sunta

    jabki un se hi samundar hai

    un ke bina samundar bas marusthal hai

    bunden din-raat prayatn karti hain

    ek bund dusre ko aage Dhakel kar

    samundar ka wajud qaem rakhti hain

    un ko ehsas hai apne hone ka

    lekin

    samundar har bar is baat ko bhul jata hai

    sochon agar bunden widroh kar den

    bana kar dost suraj ko

    upar aakash mein baadal se mil jaen

    ho sakta hai dosti dhara se kar len

    us ke gart mein sama jaen

    sukh jaega samundar

    bundon ka wajud to hamesha bana rahega

    samundar ko abhiman kis baat ka

    kya pata

    kya use nahin pata

    kis ne kiya us ka wajud qaem

    miT jaega ek din

    bas bundon ko qadam widroh ka uThana hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now