samundar ki mehrbani
ye samundar kī mehrbānī thī
tum ne sāhil ko chhū ke dekh liyā
ab havā tum se kuchh nahīñ kahtī
mauj-dar-mauj lauTte ho tum
dhuup meñ iḳhtilāt karte ho
aur havā tum se kuchh nahīñ kahtī
koī bhī tum se kuchh nahīñ kahtā
sab samundar kī mehrbānī hai
jaao bārish kā ehtimām karo
abr-e-āvāra se patañg banāo
ab tumhāre haiñ ḳhema-o-ḳhargāh
duur do bādbāñ chamakte haiñ
kashtiyoñ meñ diye jale hoñge
koī sāhil pe aa.egā is baar
tum ne sote meñ phir savāl kiyā
kaun sāhil pe aa.egā is baar
aao dariyā nashīn ho jaa.eñ
ham ne sāhil ko chhū ke dekh liyā
ye samundar ki mehrbani thi
tum ne sahil ko chhu ke dekh liya
ab hawa tum se kuchh nahin kahti
mauj-dar-mauj lauTte ho tum
dhup mein iKHtilat karte ho
aur hawa tum se kuchh nahin kahti
koi bhi tum se kuchh nahin kahta
sab samundar ki mehrbani hai
jao barish ka ehtimam karo
abr-e-awara se patang banao
ab tumhaare hain KHema-o-KHargah
dur do baadban chamakte hain
kashtiyon mein diye jale honge
koi sahil pe aaega is bar
tum ne sote mein phir sawal kiya
kaun sahil pe aaega is bar
aao dariya nashin ho jaen
hum ne sahil ko chhu ke dekh liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.