samundar par barish
yahāñ pe kal tak jo gaañv thā us ke sab makīñ ab
udaas qasboñ ġhalīz shahroñ meñ bas chuke haiñ
zamīñ ke siine se jhāḌiyoñ ḳhushk aur be-kār zard paudoñ
kī fasl ugtī hai har baras surḳh aag kā kārvāñ utartā hai
sub.h-dam dasht ke kināroñ pe phail jaatā hai
gard-e-āfāq meñ shab-sard kī hadoñ tak
yahāñ magar ek tā.ir-e-par-shikasta shāyad muqīm hai
dāstāñ ye kahtī hai bāl-o-par kī numūd hogī tulūa lamha-e-bād-o-bārāñ meñ
dasht par tabassum kā sail sail-e-rahmat paḌegā
ye sā.at-e-nek jab farāz-e-jūd se ḳhaak par utar kar qarīb aa.egī
tā.ir-e-par-shikasta parvāz kar ke kho jā.egā zamānoñ kī vus.atoñ meñ
magar abhī ḳhāk-zār meñ sail-e-vaqt ke darmiyān āñkheñ
fasurda-o-tishna-kām āñkheñ taras rahī haiñ
ki bārisheñ ab samundar par baras rahī haiñ
yahan pe kal tak jo ganw tha us ke sab makin ab
udas qasbon ghaliz shahron mein bas chuke hain
zamin ke sine se jhaDiyon KHushk aur be-kar zard paudon
ki fasl ugti hai har baras surKH aag ka karwan utarta hai
subh-dam dasht ke kinaron pe phail jata hai
gard-e-afaq mein shab-sard ki hadon tak
yahan magar ek tair-e-par-shikasta shayad muqim hai
dastan ye kahti hai baal-o-par ki numud hogi tulua lamha-e-baad-o-baran mein
dasht par tabassum ka sail sail-e-rahmat paDega
ye saat-e-nek jab faraaz-e-jud se KHak par utar kar qarib aaegi
tair-e-par-shikasta parwaz kar ke kho jaega zamanon ki wusaton mein
magar abhi KHak-zar mein sail-e-waqt ke darmiyan aankhen
fasurda-o-tishna-kaam aankhen taras rahi hain
ki barishen ab samundar par baras rahi hain
- Book : Lambi Barish (Pg. 104)
- Author : Balraj Komal
- Publication : Sahitya Akademi, New Delhi (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.