sanbhaala
kitnā ḳhush thā ki rag-e-sang se Tapkā hai lahū
maiñ hañsā thā ki kisī aañkh meñ aa.e aañsū
maiñ ne samjhā ki taḌaptā huā bismil koī
ziist aur maut kī lazzat ke liye tishna hai
koī kahtā thā ki gulshan meñ khilā hai ik phuul
dard-e-fan bech diyā maiñ ne masarrat ke liye
merī rātoñ mirī sub.hoñ mirī shāmoñ ne magar
maut ke raag meñ phir giit sunāyā mujh ko
aur ro-ro ke batāyā ki masarrat kaisī
manzil-o-jāda haiñ kyā aur masāfat kaisī
ye ġhalat hai ki tire ḳhūn-e-jigar se pahle
sīna-e-sang ho shaq aur lahū bah nikle
kitna KHush tha ki rag-e-sang se Tapka hai lahu
main hansa tha ki kisi aankh mein aae aansu
main ne samjha ki taDapta hua bismil koi
zist aur maut ki lazzat ke liye tishna hai
koi kahta tha ki gulshan mein khila hai ek phul
dard-e-fan bech diya main ne masarrat ke liye
meri raaton meri subhon meri shamon ne magar
maut ke rag mein phir git sunaya mujh ko
aur ro-ro ke bataya ki masarrat kaisi
manzil-o-jada hain kya aur masafat kaisi
ye ghalat hai ki tere KHun-e-jigar se pahle
sina-e-sang ho shaq aur lahu bah nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.