sañbhal kar chal
bahut gahrā añdherā hai
tumheñ ġhāroñ meñ aisā ġhaar kam hī mil sakegā
yahāñ dhartī nahīñ kuchh āsmāñ sā hai
daraḳht is niilī chhat ke saath yuuñ chipke haiñ
jaise ye isī ambar kā hissa hoñ
ka.ī din se ye sab niile daraḳht is āsmāñ se ug rahe haiñ
abhī maiñ tum se kyā kahne lagā thā
sañbhal kar
haañ mujhe kahnā thā
ki us ġhaar se nikleñ to shāyad āsmāñ se ham zamīñ dekheñ
magar ham to zamīñ par the
ye kaise āsmāñ par aa ga.e haiñ
ḳhalā to is zamīñ par bhī bahut hai
magar ham āsmāñ us ko nahīñ kahte
zamīñ to āsmāñ par bhī bahut hai
magar ham is ko dhartī kaise kah deñ
chalo us ġhaar se ho kar nikalte haiñ kisī jānib
sañbhal kar
haañ sañbhal kar chal
yahāñ par raushnī itnī ziyāda hai
ki āñkhoñ meñ añdherā bhar gayā hai
sanbhal kar chal
bahut gahra andhera hai
tumhein ghaaron mein aisa ghaar kam hi mil sakega
yahan dharti nahin kuchh aasman sa hai
daraKHt is nili chhat ke sath yun chipke hain
jaise ye isi ambar ka hissa hon
kai din se ye sab nile daraKHt is aasman se ug rahe hain
abhi main tum se kya kahne laga tha
sanbhal kar
han mujhe kahna tha
ki us ghaar se niklen to shayad aasman se hum zamin dekhen
magar hum to zamin par the
ye kaise aasman par aa gae hain
KHala to is zamin par bhi bahut hai
magar hum aasman us ko nahin kahte
zamin to aasman par bhi bahut hai
magar hum is ko dharti kaise kah den
chalo us ghaar se ho kar nikalte hain kisi jaanib
sanbhal kar
han sanbhal kar chal
yahan par raushni itni ziyaada hai
ki aankhon mein andhera bhar gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.