sandal ke daraKHt
kuchh mahakte hue sandal ke daraḳht
gungunāte haiñ
suḳhan-sāz haiñ
afsūñ-gar haiñ
kitne hī mār-e-siyāh
un ke qadmoñ se lipaTne ke liye
bilbilāte haiñ
taḌapte haiñ
machal jaate haiñ
tairte shauq ke dariyāoñ meñ haiñ
Duub jaate haiñ
ubhar aate haiñ
ārzūoñ kī havā kitne bhañvar buntī hai
hosh ke ḳhvāb
tilismoñ kī ghaTā buntī hai
aur sandal ke daraḳht
yūñhī mahke hue ḳhāmosh khaḌe rahte haiñ
aur har samt chalā kartā hai jaadū un kā
sarsarātī hai havā
lahlahā uThtī haiñ shāḳheñ in kī
arġhavānī sī chhiḌak jaatī hai
ḳhvāb kā sā vo salonā manzar
az-ufuq tā-ba-ufuq
kaise suhāne lamhe
har-nafas mauj-e-sharāb
par-e-parvāz taḳhayyul ḳhvābīda
tasavvur bedār
chashm-e-nargis nigarāñ
chashm-e-fusūñ-gar bīmār
kuchh mahakte hue sandal ke daraKHt
gungunate hain
suKHan-saz hain
afsun-gar hain
kitne hi mar-e-siyah
un ke qadmon se lipaTne ke liye
bilbilate hain
taDapte hain
machal jate hain
tairte shauq ke dariyaon mein hain
Dub jate hain
ubhar aate hain
aarzuon ki hawa kitne bhanwar bunti hai
hosh ke KHwab
tilismon ki ghaTa bunti hai
aur sandal ke daraKHt
yunhi mahke hue KHamosh khaDe rahte hain
aur har samt chala karta hai jadu un ka
sarsaraati hai hawa
lahlaha uThti hain shaKHen in ki
arghawani si chhiDak jati hai
KHwab ka sa wo salona manzar
az-ufuq ta-ba-ufuq
kaise suhane lamhe
har-nafas mauj-e-sharab
par-e-parwaz taKHayyul KHwabida
tasawwur bedar
chashm-e-nargis nigaran
chashm-e-fusun-gar bimar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.