sandal ki KHushbu aur sanp
koī af.ī hai
jo chandan ke peḌ kī ḳhushbū se maḳhmūr ho uThtā hai
us kī shāḳhoñ us ke pattoñ se lipaT kar
na jaane kyā DhūñDtā rahtā hai
jaise chāñd kī taak meñ har dam chakor rahtā hai
jaise chāñd kī ghaat meñ koī megh kā kaalā chor rahtā hai
aur phir ek pal aisā bhī aatā hai
jab vo chāñd ko apnī bāñhoñ meñ bhar letā hai
duniyā kī nigāhoñ se bachā kar apnī āġhosh meñ Dhāñp letā hai
safedī zulmat meñ hal ho jaatī hai
raushnī tārīkī meñ badal jaatī hai
lekin
ye tārīkī hī aslan taḳhlīq kā mamba.a hai
man kā af.ī bhī
rahnā chāhtā hai
tere gird-o-pesh
go tirī zulf koī shañkar kī jaTā bhī nahīñ
phir kyuuñ ye af.ī
terī gardan tere nāf-e-tan meñ hamā.il honā chāhtā hai
bār-bār
tere sandal badan kī ḳhushbū
koī amrit koī somras bhī nahīñ,
phir kyuuñ ye dushT raahū ketū kī tarah
piinā chāhtā hai use buuñd buuñd chāl-bāzī se
tārīkī hī terā muqaddar Thahrā
terā maskan bhī tārīk hai
ai zulqarnain
zulmat hī to āb-e-hayāt kā sar-chashma hai
terā sukūn terā qarār bhī tārīk hai
tārīkī hī asl mañb-e-nūr hai
taḳhlīq-e-kā.enāt kā shu.ūr hai
bādal jab chhaTtā hai
chāñd aur bhī damaktā hai
megh-dūt ke kaale ghane halqe se nikal kar
chāñd aur bhī dūdhiyā pur-nūr ho jaatā hai
sandal ke shajar se lipaT ke saañp
aur bhī masrūr ho jaatā hai
lā-shu.ūr se shu.ūr kā safar ḳhatm ho jaatā hai
koi afi hai
jo chandan ke peD ki KHushbu se maKHmur ho uThta hai
us ki shaKHon us ke patton se lipaT kar
na jaane kya DhunDta rahta hai
jaise chand ki tak mein har dam chakor rahta hai
jaise chand ki ghat mein koi megh ka kala chor rahta hai
aur phir ek pal aisa bhi aata hai
jab wo chand ko apni banhon mein bhar leta hai
duniya ki nigahon se bacha kar apni aaghosh mein Dhanp leta hai
safedi zulmat mein hal ho jati hai
raushni tariki mein badal jati hai
lekin
ye tariki hi aslan taKHliq ka mamba hai
man ka afi bhi
rahna chahta hai
tere gird-o-pesh
go teri zulf koi shankar ki jaTa bhi nahin
phir kyun ye afi
teri gardan tere naf-e-tan mein hamail hona chahta hai
bar-bar
tere sandal badan ki KHushbu
koi amrit koi somras bhi nahin,
phir kyun ye dushT rahu ketu ki tarah
pina chahta hai use bund bund chaal-bazi se
tariki hi tera muqaddar Thahra
tera maskan bhi tarik hai
ai zulqarnain
zulmat hi to aab-e-hayat ka sar-chashma hai
tera sukun tera qarar bhi tarik hai
tariki hi asl manb-e-nur hai
taKHliq-e-kaenat ka shuur hai
baadal jab chhaTta hai
chand aur bhi damakta hai
megh-dut ke kale ghane halqe se nikal kar
chand aur bhi dudhiya pur-nur ho jata hai
sandal ke shajar se lipaT ke sanp
aur bhi masrur ho jata hai
la-shuur se shuur ka safar KHatm ho jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.