use kahnā
kabhī milne chalā aa.e
hamāre paañv meñ jo rāsta thā
rāste meñ peḌ the
peḌoñ pe jitnī tā.eroñ kī Toliyāñ
ham se milā kartī thiiñ
ab vo uḌte uḌte thak ga.ī haiñ
vo ghanī shāḳheñ jo ham par saayā kartī thiiñ
vo sab murjhā ga.ī haiñ
tum use kahnā
kabhī milne chalā aa.e
laboñ par lafz haiñ
lafzoñ meñ koī dāstāñ qissa kahānī
jo use aksar sunāte the
kise jā kar sunā.eñge
batā.eñge
ki ham mehrāb-e-abrū meñ sitāre Tāñkne vaale
dar-e-lab bosa-e-iz.hār kī dastak se aksar kholne vaale
kabhī bikhrī huī zulfoñ meñ ham
mahtāb ke gajre banā kar bāñdhne vaale
charāġh aur aa.ine ke darmiyāñ
kab se sar-e-sāhil khaḌe maujoñ ko takte haiñ
use kahnā
use ham yaad karte haiñ
use kahnā
ham aa kar ḳhud use milte
magar maqtal badalte mausamoñ ke ḳhuun meñ rañgīn hai
aur ham
qatār andar qatār aise bahut se mausamoñ ke darmiyāñ
tanhā khaḌe haiñ
jaane kab apnā bulāvā ho
ki ham meñ aaj bhī
ik umr kī vāraftagī aur vahshatoñ kā raqs jaarī hai
vo baazī jo bisāt-e-jāñ pe khelī thī
abhī ham ne na jiitī hai na haarī hai
use kahnā kabhī milne chalā aa.e
ki ab kī baar shāyad
apnī baarī hai
use kahna
kabhi milne chala aae
hamare panw mein jo rasta tha
raste mein peD the
peDon pe jitni taeron ki Toliyan
hum se mila karti thin
ab wo uDte uDte thak gai hain
wo ghani shaKHen jo hum par saya karti thin
wo sab murjha gai hain
tum use kahna
kabhi milne chala aae
labon par lafz hain
lafzon mein koi dastan qissa kahani
jo use aksar sunate the
kise ja kar sunaenge
bataenge
ki hum mehrab-e-abru mein sitare Tankne wale
dar-e-lab bosa-e-izhaar ki dastak se aksar kholne wale
kabhi bikhri hui zulfon mein hum
mahtab ke gajre bana kar bandhne wale
charagh aur aaine ke darmiyan
kab se sar-e-sahil khaDe maujon ko takte hain
use kahna
use hum yaad karte hain
use kahna
hum aa kar KHud use milte
magar maqtal badalte mausamon ke KHun mein rangin hai
aur hum
qatar andar qatar aise bahut se mausamon ke darmiyan
tanha khaDe hain
jaane kab apna bulawa ho
ki hum mein aaj bhi
ek umr ki waraftagi aur wahshaton ka raqs jari hai
wo bazi jo bisat-e-jaan pe kheli thi
abhi hum ne na jiti hai na haari hai
use kahna kabhi milne chala aae
ki ab ki bar shayad
apni bari hai
- Book : جنہیں راستے میں خبر ہوئی (Pg. 251)
- Author : سلیم کوثر
- Publication : فضلی بکس ٹیمپل روڈ،اردو بازار، کراچی
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.