sang-e-mil pahron chalta hai
āsmān ke siine meñ ġham charḳhā kaat rahā hai
sang-e-mīl
pahroñ chaltā hai aur sākit hai
raat mujh se pahle jaag ga.ī hai
libās par paḌe hue dhabbe
mere bachchoñ ke dukh the
mere lahū ko tanhā.iyāñ chaaT rahī haiñ
shahr kī muñDer se tinke churā.e the
sūraj ne dukh banā diye
mere sapnoñ kā daaġh āñkheñ haiñ
merī qabr mujhe chhup kar dekh rahī hai
aasman ke sine mein gham charKHa kat raha hai
sang-e-mil
pahron chalta hai aur sakit hai
raat mujh se pahle jag gai hai
libas par paDe hue dhabbe
mere bachchon ke dukh the
mere lahu ko tanhaiyan chaT rahi hain
shahr ki munDer se tinke churae the
suraj ne dukh bana diye
mere sapnon ka dagh aankhen hain
meri qabr mujhe chhup kar dekh rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.